Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Facebook Icon
Twitter Icon
Telegram Icon
Linkedin Icon
Health Query
Share
Bookmark
Report

Hello sir, me krunal solanki (25) ahmedabad se hu, me ek lower-middle class family se hu, jiske ghr me 9 log he aur mummy pappa aur uncle tino ki salary sirf 7-7k he. Sir meri story kaafi interesting, kaafi boring, tricky and always confusing rahi he, meri aapse vinti he sir ki aap jab bhi free ho mera ye mail jrur padhiyega, mujhe aapse hi ummid he ki me kya kru aur padh ne ke baad aap jab bhi free ho tab mujhe reply kijiyega sir. Sir mera bachpan se cricketer bnne ka passion tha aur uss hisab se me khelta bi tha uss hisab se ki bowlers subah se leke saam ko andhera hone tak mujhe out nai kr pate the. But family condition, background, area aur family support ki kami ke karan me vo nai kr paya, 12th science ke baad be kiya. To socha ki clg se khelunga to sayad promote ho jau but politics ki vajah se kabhi promote nai ho paya. Fir dream 6od diya. Be me mujhe bilkul interest nai tha cricket ki vajah se .uski vajah se final years me backlogs reh gaye. Be (2016) ke baad mene spidigo me job start ki. 6 mahine kiye. Fir airport ka course kiya then placement hua. Ground staff me. Vaha pe set ho gaya tha but 15-17 hours ki night duty ki vajah se health issue ho gaya to vo 6od diya 1 saal kam krne k baad. Uske baad vaha pe jane ka nai socha kyuki vaha pe rotational shift hoti thi aur uss time pe laga ki isse achhi job aaram se mil jayegi abhi age nai hui he to dikkat nai he. Aur uss time meri respect bahot se upar ho gai thi area me. Kyuki mera uniform pura suit tha isiliye aur ek airport ka status. Aur uss time pe sabhi dost mujhse achhi job ya mujhse jyada earn nai kr rahe the aur kuchh dost job hi nai kr rahe the. Iske baad yesbank me sales me kam start kiya (on 3rd party payroll. 6-8 months kam kiya fir 6od diya. Fir nayi job search ki fir visa company me laga vaha 2-3 mahine kiye aur uss time pe mere tuition ke group ke kaafi dost gvrt jobs me lag gaye to mene socha mere pass abhi koi option nai bacha he to me isme jaan daal deta hu. Select ho gaya to life set ho jayegi usi time pe sabhi dost ka achha promotion ho gaya tha kyuki vo tike huye the aur mene switch over kiya. Un sab me smart me hi tha uske bavajud. Mene ekdum pagal bnke job k sath sath padhai ki wifistudy se hi. Itni padhai ki ki neend me bi pu6o to mujhe ans aa jaye. Uske baad exam ki date pas me thi to socha job 6od deta hu kyuki me risk nai lena chahta tha gvrt job k sath. Ssc mts diya. 0.29 se reh gaya. 2-3 mahine ghr pe raha. Ab condition family ki vo 2-3 mahine ki vajah se kaafi kharab ho chuki he aur relatives k sarcasm. To mene nayi job start ki kal se. Vapas se 0 se start sir. Aur mere sab dost achhi jagah pe. Mere baad me jinhone career start kiya vo bhi achhi salary pe he abhi. Aur mene itna kuchh krne k baad bhi abhi 0 hu. Bahot stressed ho gaya hu sir. Itna ki bs kaafi time se regret hi kr raha hu .suicide krne ki i66a ho jati he fir family ko yad krta hu ki me unke guroor hu. Ese unko guroor ko mrne nai de skta. Puri life labour work kiya unhone. Kabhi 7k se upar salary nai gai. Man janta he mera ki ghr kese chalta he. Aur sir ek human being ki tarah mujhe mere sabhi dosto se bahot jalan hoti he. Itna stressed and itna frustrated ho gaya hu life se ki ab sirf job word sunta hu ginn aati he. Aaj mummy ne pu6a ki kesa raha aaj ka din to bhi life me pehli baar ye baat se achha hi nai laga mujhe .jese ki ab life me kuchh raha hi nai. Sab gava diya mene. Gvrt jobs me confidence he mujhe but you know sir its unpredictable thing. Socha ki mehnat jaari rakhunga but private isiliye start kiye ki agar gvrt nai laga ab aur 1-2 saal me to uss time to me mar hi jaunga. Mujhe dosto se bahot jalan hoti he aaj kal. Pehle esa kabhi nai hua sir. Pehle vo log jalte the aur aaj me. Just because of my mistakes. Me abhi chah k bhi happy nai reh pa raha hu sir. Mujhe kya krna chahiye sir? Mujhe kuchh samaj me nai aa raha. Bina baat pe ghr valo pe gussa aa jata he aur kabhi pura din silent reh ke reh jata hu. Please sir. Asha rakhta hu ki aap apna valuable time nikalke mujhe guidance denge ek chhote bhai, ek dost, ek student ki tarah. Krunal solanki.


1Doctor Answered
Suggestions offered by doctors on Lybrate are of advisory nature i.e., for educational and informational purposes only. Content posted on, created for, or compiled by Lybrate is not intended or designed to replace your doctor's independent judgment about any symptom, condition, or the appropriateness or risks of a procedure or treatment for a given person.
book_appt_icon
Book appointment with top doctors for Depression treatment
View fees, clinic timings and reviews

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
Pristyn Care Banner
ic_treatment_icon
Treatment Enquiry
Get treatment costs, find best hospitals/clinics and know other details