Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Boosting Children's Immunity And Skin Solutions With Homeopathy

Profile Image
Dr. Sonia GuptaHomeopathy Doctor • 18 Years Exp.BHMS, MD - Homeopathy, Gold medallist , P.hD.(ADHD)
lybrate_youtube

Hello Friends! I am Dr. Sonia Gupta, Senior Consultant Homeopathic Physician. I am MD gold medalist, practicing from 12 years.

Today we will discuss about why we should choose homeopathy for children. Because homeopathy is a very gentle treatment. Iske koi side-effects nahi hain, harmless hai, bachon ke liye bahut effective hai. Koi nuksan nhi pahuchata bachon ko. Aaj kal ke time me jo sabse jyada prominent problem hai bacho k liye, vo hai recurrent cold. Jaldi jaldi bache bimar padte hain.

Iske liye aap baar baar antibiotic dete hain. Baar baar allergic medicines dete hain jo ke bachon ke soft bodies ko bahut hi nuksan pahuchate hai. To bachon ki immunity ko badhane k le agar koi treatment kargar hai to vo homeopathy hai. Bachon ki immunity badhane k liye , vo sab karne k liye , homeopathy choose krni chaiye. Jis se bacho ki recurrent cold ki tendency khtm ho jaye or unko baar baar western medicines ki taraf na jana pade.

Other problems hue bacho ke jaise, aaj kal sabse jyada prominent problem hai bachon ke lia ADHD. Jiska full form hai Attention Deficit hyperactivity Disorder. Aaj kal ke bache bahut hyperactive hote hain. Concentration ki difficulty hoti hai unme. Vo padhayi pe ya ek jagha pe kahin pe concentrate nhi karna chahte. Uske liye allopathic medicine dena unke bodies ke liye harmful ho skta hai.

Homeopathic treatment se ye problem bahut hi easily solve ho jaati hai. Kisi therapy ki zarurat nahi padti. Plus autism hua, autism bhi aaj kal bahut cases dekhne ko aa rahen hain. Uska cause other kuch pregnancy mein history ho skti hai injury ki. To autism ke jo cases hain , vo cases homeopathic treatment mein uska bahut hi zyaada effect and result ata hai. Kyuki hum bahut zyaada allopathic treatment ya other tarike ke treatments nhi de skte , unki body bahut hi soft hoti hai. Unke organs soft hotey hain.

Vo grow kar rahen hote hain. Us waqt agar aap koi bhi harmful treatment dete hai to vo bacho ki body pe aur unke future pe bhut hi galat effect dikhata hai. Isko avoid krne ke lia hume jitna ho sake utna natural treatment ki taraf jana chaiye. Aur homeopathy ka jo treatment hai aaj kal fastest involving system hai. Isko aap future of medicine bhi keh skte hain. Iske side effects bilkul bhi nhi hain. Ye problems ko root se rectify krta hai. Jaad se mitata hai problem ko. Baar baar recurrency koi chance nhi rehte kisi bhi treatment me.

Homeopathy ka treatment bahut hi effective hai, harmless hai. Bachon ke liye or badon ke liye, har ek ke lia acha hai. To jyada se jyada jitna aap natural treatment lijiye. Usme homeopathy, physiotherapy, acupressure, diet management, natural chizon ko apni lifestyle me shamil kriye. Homeopathy skin diseases me bhi bhut help krta hai. Skin problems like, sabse promising problem hai aaj kal ke teenage group me and many other age groups me pimples. Pimples ki vjha se log bhut preshan hote hain quki unhe ek permanent solution nhi milta uske lia. Reoccurency bhut jyada rehti hai. Homeopathic treatment ke dwara pimples puri tarike se chale jate hain.

Apka chehra pura clean ho jata hai. Bina kisi side-effects ke, bina kisi cosmetic surgery ke, koi laser treatment lene ki jrurat nhi hai, Koi antibiotic ya koi harmful chizen lene ki jrurat nhi hai. Kewal homeopathic natural treatment se apka chehra pura clear ho jata hai. Pimples ek bar jane ke bad dubara aate bhi nhi. Spots bhi chale jate hain. To homeopathic treatment bhut hi jyada effective hai. Acne me, acne vulgaris, acne rosacea, dono tarike ke cases homeopathy se bhut hi easily solve hote hain. Other skin problems hua urticaria. Urticaria ek allergy hai. Jo ki body me jab immune system ke sath jab gadbad hota hai, apke reactions hote hain body me, thanda ya garam khane se, ek sath, to vo urticaria ke rup me body me reflect hote hain. Mostly urticaria ke lia log cetirizine lete hain. Or unki cetirizine pe dependency badh jati hai. Urticaria me cetirizine is not a treatment. Ye ek temporary relief krti hai.

Aapne jab cetirizine lia tab apka urticaria ka skin problem hai vo thodi der ke lia chala jata hai. Fir dubara se same problem ho jata hai. To urticaria me homeopathy bhut hi jyada effective hai. Quki vo permanently ek bar apne treatment lia vo dubara se urticaria hota hi nhi. Other skin problems rhe jaise dark spots aaj kal ladies me rehte hain, gents me bhi aaj kal bhut dekhne ko mil rhen hain. Vo body ke hormonal disbalance ki vjha se hota hai.

Body ka hormonal disbalance homeopathy ke treatment ke dwara correct kia jata hai. Jis se ki vo dark spots aate nhi vapis. Otherwise agar aap koi skin ointment apply krte hain, skin k upar to vo kewal upri skin ka dark spot htata hai, jaise hi aap usko apply krna band krte hain, dark spots dubara se aa jate hain. Quki vo body ka andar ka hormonal disbalance thik hota nhi. To homeopathy usko puri tarike se khtm kr skti hai quki vo dono tarike k treatment chalte hain. Andar se uska root cause hi khtm ho jata hai. Hormonal disbalance khtm ho jata hai jis se ki vo dark spots vagera vapis nhi aate.

Other skin problems psoriasis, warts, corns ye sab problems ke lia bhi homeopathic bhut hi effective hai. Eczema hua, ringworm hua, ringworm bhi ek fungal infection hai. Joki recurrent rehta hai body me. Aap jab tak koi ointment use krte hain uske lia tab tak vo thik rehta hai nhi to fir dubara se ho jata hai. Homeopathic treatment se vo puri taraha se cure ho jata hai. Overall dekha jaye to skin problems me bhi homeopathic bhut hi jyada effective hai, quki ye root cause ko khtm kar rha hai. Permanently apko relief de rha hai. Or ye bilkul bhi slow nhi hai joki logon me pehle ek wrong perception bana hua hai ki homeopathic bhut slow work krta hai. Aisa kuch bhi nhi hai. Jitni purani bimari hoti hai usme time lgta hai Agar apko problem 15 din pehle hua hai, 1 mahine pehle hua hai ya 5 din pehle hua hai,

agar aap time se aate hain apne doctor ke pas to homeopathic treatment usko utni jldi hi cure kar deta hai. To islia jitna ho sake, apko natural treatment ki taraf jana chaiye. Quki wrong treatment se complications jyada badhte hain body me or apke lia bhi thoda problematic hota hai. Apki body me side effects aana start ho jate hain. Body ki physiology disturb hona start ho jati hai. To jitna ho sake utna natural treatment ko preference deni chaiye.

For further information, you can contact with me through lybrate.com

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Skin Infections treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details