Meri 23 years h.mera weight 44 kg h.meri height 5" hai. Mujhe doctor ne pcod batya hai. Mere period delay hota. Pr doctor kaha hai koi dawa nhi lo. Uske side effects hote hian. Jo baadh mey problem krte hian. Kaha hai exercise karo. Aur tension bilkul mt lo. Thik hojaiye ga. Meri ek prblm main tension bohat leti hoon. Pr ab bohat control krti hoon. Aur maine ek month se exercise bhi ki hai. Toh is month mera period within 35 days mey hi aaya hai. Maine Google kiya cyst ke baare kaafi information niklaali hai toh pta chla hai. Ki bohat sey home remedies se ye cure ho skta hai. Jaise flaxseed, almond,aur walnut ko grind krke uska powder. Early morning mey empty stomach mey lukewarm water mey mix krke lena hai. Aur cinnamon powder ko bhi ayese hi Lena hai. Aur kuch khaane ke baadh. Apple cider vinegar ko water mey mix krke lena hai. Kya ye saare remedies correcthain. Aur uska koi sideeffect nhi hote hai. Aur bhi bohat si chiz hai. Jaise drumstick, aur uska fruit aur leaves. Aur Tulsi leaves. Kya ye sb lena thik hoga. Mujhe suggest kr dein plzzz. Aur koi natural ways hi bataien cure hone keliye. Mujhe koi medicine nhi leni. Mujhe natural ways hi suggest Karen. Aur home remedies hi batein. Eagerly waiting for your for your useful suggestions.
Ask Free Question
Dear Lybrate user, PCOD bohot sari ladkiyo me pane wali bimari hai. Net pe aapne search Kiya aur information collect Kiya, ye kafi achi bat hai. Ek Dhyan me rakhiye, ki pcod jaise taklifo ke liye, long term medicines aur exercise jaruri h�i. Ayurvedic treatment se isme kafi accha result milta hai. Start kanchanar guggulu 2 tabs twice day kasisadi vati2 tabs twice day Kumari aasav 15 ml with water after food twice day. Remember these are primary Medications, and helps alot. Do visit a doctor or consult privately for further information and treatment guidelines. Kafi sare gharelu nuskhe Google search karne pe milte hai, lekin iska use ek limit ke upar nahi hota, so isme apni khud ki body pe krupaya prayog na kare. Dhanyawad.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors