Hii, mai lucknow mai rahti hu meri shadi ko 4 saal pure ho gye hai but mujhe bachcha nhi ho rha hai or mere husband mumbai mai job karte hai please koe solution bataye ki bachcha na hone ki wajah kya hai.
Ask Free Question
1) pahle to- pregnancy mahine ke ek hi din rah sakti hai jab anda phut ta hai. Vo din ke aaspas intercourse important hai. Kyonki mahine ke ek hi din pregnancy possible hoti hai isliye yeh din ke aaspas jab 12 se 24 mahina bina family planning intercourse hota hai aur phir bhi pregnancy nahi rahti hai tab gynecologist ya to infertility specialist ke paas jana hota hai. Ye 12-24 mahine saath rahte hai aur ovulation ke vakht interourse hota hai to hi chance hai. 2) agar saath rehna mumkin nahi hai to husband ka semen sperm bank me jama karvake treatment ho shakti hai vahan ke infertility specialist ko milo. 3) agar saath rahe hai phir bhi nahi hua hai to- jinko bachha chahiye aur apne aap nah hota hai, unko gyncologist ya infertility specialist ke paas jana hota hai, jahan bahut sare reports nikalane padte hai aura alag alag treatment ka prayatna karna padta hai jisme vakt lagta hai. Isliye jisme vishwas ho unke paas dhiraj se jana chahiye.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors