Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Migraine

Profile Image
Dr. Bhupesh KumarNeurologist • 17 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MD Medicine, Diplomate of American Board of Psychiatry and Neurology (DABPN)
lybrate_youtube

Hello!

I am Dr Bhupesh Kumar, Neurologist. Aaj hum baat karne wale hain migraine headaches ki. Migraine headaches kya hote hain? Basically migraine headaches are very classical type of chronic headaches jo sab logo ko hota hai, kisi bhi type se ho sakta hai. Ye headache basically trigger pe start hota hai, koi na koi iska trigger point hota hai; kabhi aap ko tension ho rahi hai to ye headache start ho gaya, kabhi aapne kuch galat kha liya ya apne excessive sharab pee li ya smoking zada karli; in cheezo ki vajah se apko ye headache start hota hai migraine ka. Iske alawa bhi bahut sare iske kaaran ho skte hai but ye kuch specific kaaran hain jinki vajah se migraine headache start hota hai.

Migraine basically koi aisa ganda headache nahi hai, koi khatarnak bimari nahi hai, it's a complex brain headache disorder. Ek disorder mana jata hai isko, disease nahi hai. Na he ye chua-chuth se failti hai na he kisi physical contact se failti hai. So ghabraiye mat, agar aap migraine ke patient hai to. Sabse pehle agar apko migraine hora hai, try to maintain a diary isko migraine diary bulaya jata hai. Migraine diary mein normally aap sabse pehle ye likhenge ki aapko wo migraine kitne baje start hua, kitne baje wo khatam ho raha hai, uske beech mein apne konsi dawaiyan khayi agar khayi to, agar nahi khayi to nahi khayi vo bhi aap likh sakte hai.

Description me aap ye likhenge ke usse ek din pehle apne kya kiya tha ya usse headache ke start hone se pehle aisa aapne kya kiya tha jis ki wajah se aapko migraine headache start hua hai. Jab aap aise 4-5 baari iss log ko maintain karenge is diary ko maintain karenge aapko yeh samaj me ajaega ki aapka migraine ka trigger point kya hai, kis vajah se apko ye migraine start hota hai. Isi vajah se apko migraine ko apke iss vo diary ki vajah se apke migraine ko control me laya ja sakta hai. Agar aapne trigger points kam kar diye apne aap migraine control mein aa jayega. Nahi to until otherwise aapka kitne episodes ho rahe hai migraine ke, hafte me kitni bari ho raha hai ya mahine me kitni bari ho raha hai vo apko dekhna hai vo bhi apne likhna hai.

Jab aap sari ye information leke 1 neurologist ke paas pahuchte hain to vo apko exactly right medication de sakta hai taki aapka migraine us tarike se treat ho sake. Agar aap ye sari information nahi leke jate hain so ek neurologist ko extra kaam karna padta hai, aap se ye sari information nikalne ke liye. So that delay is the process usme thoda utni der lag jati hai apke dosage or apke effectivity ko kaam karne me, medication ke effectivity ko kaam karne mein. So, sabse pehle apni migraine ki diary banaiye, uss diary me ye 4-5 cheeze likhiye jo maine bataya hai apko, uske baad vo sari information leke aap neurologist ke paas pahuchiye. Migraine basically unilateral pain hote hain ek side pe hota hai dimag ke ya dono side pe bhi ho sakta hai zaroori nahi hai or do prakar ke migraine hote hain: migraine with aura and migraine without Aura.

With aura mein aapko flashing lights nazar aati hai jab apka migraine start hone vala hota hai, ye ek indication hoti hai ke apke upar migraine ka attack aane vala hai. Without aura me aisa kuch nahi hota hai. Dono migraines me normally zadatar ulti jaisi feeling hoti hai jisko aap nausea ya vomiting ke naam se bhi jante hai, us jaisi feeling agar apko hoti hai to probably ye migraine ka attack he hai. But iske alawa agar apko slurries of speech ho rahi hai, aapki speech ladkhada rahi hai, ya aap kahi gir rahe hai, ya ek side of your body is not working agar, apke ek side pe motor ka loss hogya hai, ya apke ek side dhang se kaam nahi kar pa raha hai to ussi waqt bina wait kiye kisi bhi hospital ke emergency room me dikhaiye.

Jab aap aisa feel karen to ho skata hai ki apkoo shayad stroke aa raha ho aur stroke ko jitni jaldi handle kiya jae vo utni he jaldi theek ho sakta hai. So try to differentiate, dono me antar samajhiye migraine or ek stroke induced headache me. Right. Jab aap aisa sochenge, aisa karenge to apka migraine apne aap theek hojaenge or trigger points ke basis pe bhi aap apne migraine ko theek kar sakte hai. Iske alawa you can also try meditation, subah aap uth ke meditation kariye, 20-30 minute ki exercise kijiye or healthy khana khaiye or stress ko door rakhiye. Avoid smoking, avoid drinking; that will help your migraine to be in check and in under control.

Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Migraine treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details