Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Hypertension

Profile Image
Dr. R.K. JoshiHomeopathy Doctor • 34 Years Exp.BHMS
lybrate_youtube

Briefing on Hypertension and its treatment

I'm Dr. R.K Joshi from Siddharth Clinic, Palam Bihar Gurgaon. Mai aaj aap ko hyper tension k baare me kuch batauga, ki hypertension hota kya hai aur hota kyu hai aur iske causes kya hai aur treatment kya ho sakti hai. Hypertension, kyuki ye tension hota hai jo aap ki arteries jo humareblood vessels hai unka tension hota hai, unke lateral wall spe padhta hai jis ki wajah se humko hypertension hota hai. Aur jaisa ap sab log jante hai ki ye blood humare saare sharir me daudta hai islye har organ pe ye apna bad effects chod k jaata hai jaise ki aap ka liver, kidney, heart, brain sab jagah pe iske bad effects dekhe ja sakte hai aur etina mein bhi iska effect aata hai, eye mein parde k upar. To islye isko treat karna, iske baare me janna bohot zaruri hai, to ye humare lifestyle k thode se changes se jo hai thik ho sakta hai.

Medication part bhi isme hai lekin vo bohot baad mein aata hai. Lekin iska jo hai jise cardaic arrest kehte hai jisme aapka cardiac muscles kaam karna band ho jaata hai jis ki wajah se aap ka immediate death ho jaata hai. To kyu ki heart humare paas ek hi hai isliye humein usko bohot sanjo k rakhna padhta hai aur humare jo 4 chambered heart hota hai, jisme ki 2 deoxigenated aur 2 mein oxigenated blood hota hai. To isliye ye pumping station hai aur isiliye iska bohot khyaal rakhna padhta hai. Aur aap apne diet me jaise ki aap unsaturated fats le sakte hai, saturated fats mat lijiye, aur aap junk food pe zyada depend mat hoiye.

Aur dusri baat aap sodium ka intake kam kar sakte hai jo ki humare common white salt mein bohot hota hai kyuki sodium chloride hai vo. To unko aap kam kar sakte hai jaise jinko Hypertension hai unko to thoda kam lena chahiye aur jinko nahi hai, jo swasth hai abhi unko bhi one teaspoon se zyada per dy consume nahi karna chahiye, aur oily chizo se bachna chahiye, potassium ka intake zyada hona chahiye kyuki potassium isko level karta hai, kam karta hai. Jaise potassium k liye aap kela apne diet me shamil kar sakte hai, kela, amrud mein thoda potassium mil jaata hai aap ko to iske wajah se aap isse bach sakte hai aur aap isko thik kar sakte hai, level me la sakte hai. Aur agar koi young hai to uske liye 140-190 tak bhi chal jaata hai, uske niche hona chahiye to accha hai.

Lekin jaise aap ki age badhti hai to upper limit 150-260 bhi ja sakta hai, lekin contrl karna chahiye taki vo niche hi rahe 140 k to zyada better hota hai. 70-90 aap ka niche ka jisko hum distolic kehte hai aur 140-150 upper limit hai jisko hum systolic bolte hai, systolic blood pressure kehte hai. To aap agar ye rakhege to aap k liye accha hoga aur iska treatment part mein homeopathy mein khas taur se humlog ka disease diagnosis nahi hota hai, symptomatic treatment hota hai jisko ki hmare clinic pe agar aap aate hai to aap ko homeopathic doctor sahi guide kar sakte hai ki kya treatment aap ko chahiye.

Agar aap ko aur kuch bhi jankari chahiye ho to aap mere se sampark kar sakte hai through Lybrate aur mujhe khushi hogi ki mai aap ke shankaon ka samadhan kar sakun. Dhanyawad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hypertension treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details