Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 29, 2023
BookMark
Report

Aspiration Pneumonia

Profile Image
Dr. Vikas MittalPulmonologist • 23 Years Exp.MBBS, MD - Pulmonary Medicine, MD - Tuberculosis & Respiratory Diseases / Pulmonary Medicine
lybrate_youtube

Namaskar!

Me Dr. Vikas Mittal, pulmonologist, Manipal Hospital. Aaj me aspiration pneumonia ke bare me baat krunga. Ek example ko leke baat krenge. April 2018 me ek patient bed pe hi tha pneumonia ki vjha se. Girne se unke left thigh me fracture ho gya tha. Operation se vo thik ho gya lekin uske baad pneumonia ho gya. He was not even able to complete his sentences because of breathlessness. Kafi examination ke baad pta chala that patient was also suffering from poor cough. Diagnosis ke baad aspiration pneumonia detect hua. Aspiration pneumonia me aap jo bhi khate hain vo food pipe me na jake wind pipe me chala jata hai.

Iski vjha se hmare lungs me infection ho jata hai. Wind pipe ko trachea bolte hain and food pipe ko oesophagus. Aspiration pneumonia me hmara flap band nhi hota hai or khana thoda sa slip wind pipe me hota hai and thoda food pipe me. Iske causes kya hain? Ye infection older age me and bachon me hota hai. Neurological problems like motor neurone disease, stroke, seizure, in sab se brain ka signal swallow krne ke lia proper nhi hota hai. Discordinate hone ki vjha se dysphagia problem ho jati hai. Aspiration dental problem ki vjha se bhi hota hai or aisi koi bhi problem jo apne senses me nhi hai, cancer ke patients me bhi ye problem ho skti hai.

Iske symptoms kya hain. Iske symptoms are equal to pneumonia. But iske symptoms thode slow rehte hain. Ye long time tak trouble krte hain apke lia. Symptoms iske hain saans fulna, whistling sound while breathing, chest pain, khasi hona, bulgum me smell or blood ana. Unko food swallow krne me problem hogi. Khate time choking or khasi ki problem hogi. Bad breath ki bhi problem hoti hai. Oxygen ki kami bhi ho skti hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Pneumonia treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details