Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Shoulder Dislocation

Profile Image
Dr. Rakesh KumarOrthopedic Doctor • 24 Years Exp.MS - Orthopaedics, MBBS
lybrate_youtube

Namaskar!

Main Dr. Rakesh Kumar. Aaj me apko shoulder dislocation ke bare me btaunga. Isme ek bone dusri bone ke socket se nikal jati hai. Ise dislocation kehte hain. Agar bone thik se nhi niklti to use subluxation kehte hain. Shoulder dislocation 3 types ka hota hai. Anterior dislocation mtlb kandha nikal gya hai or samne ki traf aa gya hai. Ek chot lagne ki vjha se bhi ho skta hai or bina chot ke bhi. Ek hai posterior dislocation jisme kandha piche ki taraf nikal jata hai. But ye situation bhut kam hoti hai. 97% anterior dislocation hai or 3% posterior dislocation hai. Aisi situation bhi hoti hai ki hath upar ki traf uth jata hai. Aisi problem ko immediate attaention ki jrurat hoti hai. Otherwise isme bone damage ho jata hai, muscles fatne ke chances hote hain. Iske lia radiography or x-ray kia jata hai. Isme dekha jata hai ki koi fracture to nhi hai. Agar fracture hai to re-dislocation ke chances bhut hain.

Jitni bar dislocation hoga utni bar haddi ghisegi. Teeno ka reduction bhut jruri hai fir vo bone ke sath ho ya fracture ke sath. Isme kbhi anesthesia dia jata hai or kbhi nhi. Aaj kal ki techniques se bina surgery ke bhi is problem ko thik kia ja skta hai. Reduction hone ke baad bhi isko check krte rehna jruri hai. Otherwise joint re-dislocate ho jata hai. Kbhi kbhi patient ka hand dead bhi ho jata hai jisme uska hath bilkul bhi kam nhi krta. Ise dead arm syndrome kehte hain. Ek situation hota hai jisme kandha bahar ko aane lgta hai or vo kam nhi krta. In sab chizon ko proper address kr k hum thik kar skte hain. Isme MRI kraya jata hai. Agar fracture hai to CT-scan bhi krate hain. Lekin starting stage me hi arthroscopy se ye problem thik ho jati hai. Isme 3 keyholes dia jate hain. Lekin agar patient surgery nhi krata hai to patient ki bones baar baar ghisti hai or fir surgery bhi successful nhi hoti hai.

And aise case me major surgery krni pdti hai. Major surgery me pure kandhe ko kholte hain. Jo bone ghis jati hai, usme dusri bone lga di jati hai. Jis se dislocation ke chances kam ho jate hain. Llekin still movement restricted ho jata hai. Lekin arthroscopy ke baad ye chances kam ho jate hain. Is surgery se root cause ka pta chal jata hai or sari chizen aram se manage ho jati hai. Agar patient ko fir bhi koi pain feel ho rha hai to immediate attention ki jrurat hai. Agar condition worst ho jaye to shoulder ko replace krna pdta hai. Rotator ko bhi repair krne ki jrurat pdti hai. Lekin aisi condition me result poor aane ke chances hote hain. Kbhi kbhi usme koi bhi option useful nhi hota hai. Islia kbhi bhi apko shoulder ka koi bhi problem ho to doctor ko jrur dikhayein.

Thank You!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Joint Dislocation treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details