Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Diabetic Retinopathy

lybrate_youtube

Hello, I am Dr. Anisha Seth Gupta. Today I will tell you about diabetic retinopathy.

Is problem me retina me problem aati hai. Iske hone ka cause kya hai. Jab sugar upar jati hai to vo blood nerves ko block kr deti hai. Is reason se blood supply ruk jata hai. Kuch new nerves bhi develop hoti hai jise microaneurysm kehte hain. Ye nerves weak and kharaab hoti hain. Iski vajah se eyesight affect hoti hai. Ye sugar uncontrolled patient me zyaada dekha jaata hai. Timely treatment se isko roka ja sakta hai. Kaafi logon me late stage tak bhi is disease ko detect nahi ho pata hai.

Patient ko vision me ya to black dikhta hai ya red. Kam blood hone ki vajah se black clouds dikhte hain. Isay vitreous hemorrhage kehte hain. Hum is treat karne ke liye laser use karte hain. Is se blindness ka risk bhi badh jata hai. Agar eyes me kaafi blood aa gaya hai to humein blood clean hone tak ka wait karna padta hai.

Doctors aapko injections bhi dete hain. Or agar blood nhi jaata hai to operation ki requirement hoti hai. Is stage mein patient ki eyesight ko normal karna kaam possible hai. Diagnose karne ke liye angiography ki jaati hai. Humein laser bhi karna pad sakta hai taaki hum excessive blood and water ko band kar sken.

Is treatment ke liye bahut important hai ki aap apne sugar pe bahut dhyaan dein or overall control rakhen. Sugar ko jitna hum rok sakte hain ankhon ke liye, utna pura treatment ke time pe roka jata hai with the help of the injections, laser and surgeries. Agar aapka sugar, BP, cholesterol control me nahi hai to treatment itna successful nahi hota hai. Isliye sugar control pe aap dhyaan dein.

Agar aapko 5 years se diabetes hai to specialist se mil ke eyes me medicine zarur dalvayein taaki sugar ka asar starting me hi detect kiya ja sake. Sugar ka effect aapko blind bana sakta hai. So, timely treatment se isay roka ja sakta hai. Because with modern techniques we are saving many patients. Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Diabetic Retinopathy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details