Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 01, 2019
BookMark
Report

Cataract

Profile Image
Dr. Neeraj SandujaOphthalmologist • 31 Years Exp.MS - Ophthalmology, MBBS, FRCS
lybrate_youtube

Hi,

My main is  Dr. Neeraj Sanduja and me aaj apko btanne ja rha hun vo hai cataract ke bare me. Cataract or safed motiya hota kya hai? Hmari aankh ki banavat ek camera ki trha hoti hai. Isme aage putli hoti hai, bich me lens hota hai, or piche retina hota hai. Jo image hai vo cornea ke through jati hai or retina pe focu hoti hai. Motiya me aankhon ka lens safed hone lag jata hai or ise hum cataract bolte hain. Iske kayi karan hai. Pehla karan hai age. Umar ke hisab se sab logon me ye problem milti hai. Iski shurat 50 saal ke bad hoti hai. Lekin kuch logon me cataract jldi aa jata hai jaise ki diabetics me ya injured eye ho. Even bachon me bhi cataract paya jata hai jise hum congenital ya developmental cataract bolte hain.

Question ye hai ki cataract ke symptoms kya honge? Pehle hai ki apki aankhon ki roshni kam hone lag jati hai. Kayi baar apki aankhon ki roshni din me kam ho jati hai or shaam ke time jyada ho jati hai. Even light ke around hellos nazar aane lag jate hain. To ye iske symptoms hain. Cataract rokne ke lia koi bhi medicine nhi bani hai jis se ye roka ja ske. Cataract age ke sath aata hai like after 50, 60 or 80. Surgery apko tbhi hi suggest ki jati hai jab apko day to day acclivity me problem ho. Pehle ke time according apka cataract remove tab kia jata tha jab vo badh jata tha lekin aaj kal treatment bhut advance hain. Aaj kal ki surfgery immature cataract me hi jki jati hai.

Jab apki roshni chashme ki help se bhi nhi badh rhi hai. Cataract surgery me jo latest treatment hai vo hai phocoemulsification technique. Jisko normal language me laser waves bolte hain. Iske throught hum bhut hi chote incision se andar jake cataract ko dissolve kar dete hain. Or ek fine lens apki ankhon me hum lag dete hai. Or is se aap apni ankho ki roshni ko restore kar lete hain. Lens jo aankh ke andar lgaya jata hai, ultrasound A-scan ke through power ko control kia jata hai or machine se lens ko aankh ke andar fir kar dia jata hai. Eyes ke anadar jo lens lgaye jate hain vo 2-3 types ke hote hain. Monofical lens ya to durr ki roshni ko thik krta hai ya paas ki nazar ko. And multifocal lens apke nazadik and durr ki roshni ko thik krte hain.

Lekin maximum time monofocal lens lgaye jate hain quki ye crystal clear hote hain. Is s night driving me dikkat nhi aati hai. Kuch logon ko multifocal lens ke sath chashma bhi lagana pad jata hai. Surgery ke baad kuch precautions leni hoti hain. Apko 1-2 weeks aankh me pani nhi dalna hota hai. Garam pani se eyelids ko clean krna hota hai taki koi infection na ho. Or hum apko eye drops bhi dete hain jo 4-6 weeks chalti hain. Or kuch lubricants drops 2 months ke lia chalti hai. Ye bhut hi simple surgery hai jo day in and out ka kam hai. Patient aata hai, surgery krata hai or fir ghar chala jata hai. To 2 hours ke andar apka sab kam ho jata hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Cataract treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details