Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Nov 28, 2018
BookMark
Report

Ayurvedic Treatment Of Sinusitis

Profile Image
Dr. Soonrita TanejaAyurvedic Doctor • 24 Years Exp.MD - Kayachikitsa, Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Namaskar! Main Dr. Soonrita Taneja, MD Ayurveda, General Medicine, Arogya Ayurveda & Panchkarma Clinic, Faridabad mein practice kar rahi hun.

Hum ayurveda panchakarma chikitsa or aushdhiyon se marizon ka ilaaj karte hain. Yahan hamare paas skin disease, eczema, psoriasis ke patients aate hain. Saath hi gynecologist disorders like PCOS, infertility, acidity, gastritis, irritable bowel syndrome ke treatments yahan successful hotein hai.

Aaj ke time me jo sabse bada problem hai , vo hai pain. Dard kisi bhi tarike ka ho jaise gardan, kamar, ghutne - ye ek bahut badi samasya hai. Kisi patient ko ye corporate lifestyle se ho sakti hai , kisi ko old age se ho sakti hai. To hamara pehle step hota hai lifestyle. Lifestyle ke liye , usay sahi or galat guide karte hain. Zyaadatar patients ko sitting lifestyle se problem hoti hai. Jaise shopkeepers hai, unka subha se lekar raat tak sitting posture rehta hai , isliye ye bahut bada kaaran hai is disorder ka.

Koi activity na karna, late night tak jaagna, morning me late uthna. Iske alawa koi bhi massage na lena, koi bhi exercise, yoga follow na karna. Iske alawa dietary pattern bahut disturb hota hai. Chilled cheezen zyaada khana, refined oil use karna, ghee ka kam use karna, especially in old age, to ye sab kaaran vaat ki vridhi karte hain. Or ayurved me vaat ko pain ka dosh maana gaya hai.

Isko thik krane ke liye hum vaat ki chikitsa karte hain. Ismein hum patient ko dietary and lifestyle ki guidance dete hain. Uske baad hum ye batate hain ki oral medicines kab leni hain. Uske saath hi hum kuch panchakarma treatment shuru karte hain. Fir Kerala ke medicated oils se patient ko massage dete hain. Or saath me kuch particular treatments diye jaate hain, jinka demonstration hum aapko denge.

Jaise back pain ka patient hai, to usay katti basti dete hain. Neck pain, hand pain ke liye giravasti ka treatment diya jaata hai. Ye superficial treatment hi lagbhag 50% cases ko theek kar dete hain. Uske baad bache 50% cases mein hum agni karma and vasti treatment dete hain. And the success rate is very high.

Uske baad next question hamare paas patient ka aata hai ki pain kitne time mein thik ho jayega. To pehli chiz hai ki usay diet and lifestyle follow karna hai. Dusra ye maan ke chalna hai ki jitna vo active rahega, utna vo theek rahega. Agar vo ye sab follow karte hain to ye pain ki condition dobara nahi aayegi.

Iska demonstration ab hum aapko denge. Ye treatment hum lumbar pain, slip disc ya fir jakadi hui tango me, sciatica, in sab diseases me hum ye treatment dete hain. Isay bolte hain katti basti. 40-50 mins ka ye treatment hota hai. Ye treatment neck, hand pain ke liye bhi dia jaata hai. Similarly, ye treatment knees ke liye bhi diya jaata hai.

To koi bhi problem ho, pain ho, to aap kisi bhi ayurvedic consultant se consult karen. Ye treatment len, quki is se aapka pain jaldi jayega or aap normal life pe jaldi aayenge. Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Panchakarma treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details