Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Dec 19, 2023
BookMark
Report

Prostate Problems And Their Prevention

Profile Image
Dr. Shalabh AgrawalUrologist • 23 Years Exp.DNB (Urology), MS, MBBS
lybrate_youtube

Namashkar dosto.

Main Dr Shalabh Agarwal, Urologist hu. Aaj hum baat karenge prostate ke bare mein. To main aapko bata doon ki prostate apne aap mein ek bimari nahin but sharir ka ek ang hai. Prostate ki bimari ho sakti hai jo old age mein ya young age mein hoti hai alag alag tarike ki aur prostate apne aap mein ek normal healthy organ hai male anatomy ka matlab har purush mein prostate hota hai. To prostate ek bimari nahi balki ek sharir ka ang hai. To doston, prostate jo humara located hota hai jo hamari stithi hoti hai prostate ki jo masana hota hai bladder hota hai, bladder ke niche peshab ki tube jaa rahi hoti hai toh bilkul bladder ki gardan ke niche yeh prostate ki granthi hoti hai, akhrot ki jaisi, akhrot ke size ki granthi hoti hai aur peshab ka rasta iske beech mein se jata hai. Iska main kaam jo veerye hota hai, veerye ka ek main part ye banata hai, sperm ke alawa. To shareer mein iska yeh function hai.

Isme bhin bhin tarah ki bimariya hoti hai jo hum aam bhasha mein kehte hai ki isko prostate hogaya hai ya iske gadbodh fool gaye hai, vo actual mein uske liye medical term hai BPH Benign Prostatic Hyperplasia jisme umar ke sath 40-50 sal ke baad prostate mein maas badh jata hai. Is maas badhne ke karand prostate mein aur bladder mein pareshani aana chalu hojati hai, peshab ka flow kam hojata hai, peshab bar bar jane ki ichcha karti hai, rat ko admi ko kayi bar peshab uthke jana hota hai, peshab ki dhaar jo hoti hai vo kamjor hojati hai, admi ko jor lagake peshab karna padta hai aur iske alawa agar iss bimari ko laparvahi kari jaye, isko chord dia jaye to aage jake kayi tarah ke complications bhi isme bann jate hain.

To prostate ki jo bimari hai jo aam bhasha mein prostate rehmod kaha jata hai vo bimari 40 ya 50 sal ke baad hoti hai. Jo young log hote hai jo 20-40 sal ke log hote hai unme prostate ki bimari jo old age mein hoti hai usse alag hoti hai. Young age mein prostate mein kayi bar infection hojaye ya usme soojan ajaye uski vajah se peshab mein alag alag tarah ki dikkatein ban sakti hai jaisi ki peshab ka flow kam hona, jalan hona, peshab mein jaldi jaldi ana ya niche dard hona nityango mein ye sab cheeze prostatitis mein hoti hai. So, iske liye hum ab kayi bar question karte hai ki iss cheez ko hum kaise prevent kar sakte hai. To ye bimari jaise umar ke sath sath baal safed hojate hai, khaal dheeli hojati hai aisi hi umar ka change hai, umar ke sath jo takaza hota hai vo hai to isko aap agar kahe ki mai isko bilkul rok sakta hoon to vo possible nahi hai. Kayi logo mein jinme genetic ya familial tendancy hoti hai unme iske badhne ki ya iski vajah se jo dikkatein aane ke chances zada rehte hai, iske alawa har admi jiski age badh rahi hai unko prostate ki bimari ho sakti hai.

So isliye isko prevention ke liye koi bahut special cheez nahin hai, prevention ke liye jaise agar aap apna healthy lifestyle rakhte hai, jaise ki apna wajan control rakhna, khane peene mein, charbi, ghee, tel, namak inn sabki matra kam lena, fresh fruits and vegetables, antioxidants, selenium, citrus fruits yeh sab cheeze help karte hain prostate health mein aur ek normal exercise aur apna weight maintain karna, yeh sab cheeze hoti hai prostate ki bimariya rokne ke liye. To ek bat zaroori ye hai ki agar aapko peshab ki bimari lagti hai to aap usko jaldi se samjhe aur jaldi hi doctor se salah le kyunki agar iss cheez ko laparvahi barti jaye iske sath to ye cheez samay ke sath badhti jati hai aur ek stage pe aake isme combination develop hona chalu hojate hai jab isme ilaaj ke sath bhi puri tarah se aapko relief nahi milta. Agar apko peshab mein pareshanian hain toh apne doctor se sampark kare aur iska proper evaluation karaye aur iska proper treatment le.

Dhanyavad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Enlarged Prostate treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details