Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Link Between Sexual Intercourse And Urination

Profile Image
Dr. Shailendra Kumar GoelUrologist • 28 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, M. Ch. (Urology), DNB (General Surgery), MBA
lybrate_youtube

Namashkar!

Mai Dr. Shailendra Kumar Goel, Principal consultant Urologist and Renal Transplant Surgeon, Sexologist and Enderologist. Mai aapko aaj sexual samasyaon ke baare mei thoda jaankari Dena chahta hun. Sexual samasya mostly hamare adhiktar iss wajah se hoti hain kyuki sex sambandhit samasyaein ham apni family mei apne parents ke sath koi discuss nhi karta hai. Aur hamare education system mei sex ke baare mei kuch padhaya nhi jaata hai. To mai ek common si chiz pehle bataunga ki urine ka aur sex ka kya sambandh hai. Jaise female patients hoti hai, mahilaon ko sex ke baad urine jana chahiye.

Kyuki hota kya hai ki sex vo karte hain to vagina mei normally bohot saare bacteria hote hain aur sex ke thrust ke dauraan, vo bacteria peshab ki thaili mei chale jaate hain. Aur yadi mahila sex ke baad urine kar le to vo bacteria almost saare bahar nikal jaate hain aur agar 1-2 bachta bhi hai to body ki immunity use cover kar leti hai. Lekin agar vo urine nhi karti hai to bohot saare jo ye bacteria bladder mei gye hai ye UTI kar dete hain jise hum commonly Honeymoon cystitis kehte hain. Kuch females hoti hain jinko baar baar UTI ki samasya hoti hai to unko bilkul ye chiz dhyan rakhni hoti hai ki sex ke baad urine jayein. Jabki Aisa males yani purushon Mei bilkul ulta hota hai. Hota kya hai ki jis samay unke sex gland open hote hain, kyuki usi peshaab ke raaste se peshaab bhi karte hain aur usi raaste se virye nikalta hai. Lekin dono kaam sath nhi ho sakte. Jaise ek hi gale se ham paani bhi peete hai, baat bhi karte hai, khana bhi khate hain lekin ek sath koi chiz nhi karte hain.

Yadi ham khana khate samay saans lete hain ya paani peete samay saans lete hain to agar paani ka 1 boond bhi saans ki nali mei jata hai to buri halat ho jati hai. Usi tarike se jab virye gland open hoti hain aur agar uss samay aap urine karenge to peshab, virye ki granthi mei jayega aur prostrate aur virye ki granthi mei infection karega. To purushon ko sex ke baad urine nhi jana chahiye atleast for 15-30 mins. Aur yadi unhe aisa lagta hai to unhe pehle jana chahiye. Dusri chiz ejaculation. Purushon ko apna virye regular intervals par nikalte rehna chahiye atleast hafte mei 1-2 baar. Kyuki agar vo virye ko bohot dino tak rokte hain ya brahmcharya ka palan karte hain to ye virye jo granthi mei andar ruko hua hota hai ye infect hone ke chance hote hain aur usmei sankraman ho jata hai. Isliye jawan ladko mei iss tarah ke infections bohot dekhne ko milte hain. Aur yadi vo virye regular nikaal rehte hain to iss tarah ke sankraman ke chances kam rehte hain.

Aur yadi koi shadi-shuda nhi hai aur sex nhi kar raha hai to masturbation yani hasth maithun unhein karna chahiye. Hamare yahan pranti hai ki haath maithun karne se kuch dikkat ho jaati hai but aisa kuch nhi hai. Hasth maithun ek sadharan jaivik prakriya hai aur isko karne se koi nuksaan nhi hota rather isse faeda hota hai. To hasth maithun karna chahiye. Aur virye ka nikal jana behtar hota hai chahe ye nightfall mei nikle. Nightfall koi bimari nahi hai. Ye jab virye apne aap jab zada ho jata hai to vo bahar nikal jata hai. To nightfall ya masturbation koi bimari nhi hai aur inse koi maansik tanav naa palein. Hamare yahan adhiktar jo yon samasyaein hoti hain vo ek maansik samasya zada hoti hain kyuki hame jo knowledge hoti hai vo hamare mitro se aur net se jo ham ulta seedha dekh lete hain unse hoti hai. To iske liye proper apne Sexologist ya Enderologist se milna chahiye.

Dhanyavad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Sex Education treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details