Depression
Namaskar!
Me Dr. Vaibhav Srivastava, psychiatrist, Navi Mumbai me practice krta hun. Aaj me apse depression ke bare me baat krunga. As per WHO, 2020 me 1/5 person ko depression ka problem hoga. Ye bimari kisi bhi age group ko effect kar skti hai. Is bimari ka cause stress hi hai. Iske causes genetics and social bhi hain. Is bimari ke symptoms kya hain? Apki neend kam ho jayegi., loss of appetite, irritation. Kisi bhi kam me maan nhi lgta and akele baithne ka maan krta hai. Is problem ke lia medicines importatnt hain. Is bimari ka ilaj kya hai. Depression se dimag me chemicals ka banna kam or jyada ho jata hai. Serotonin chemical jab dimag me kam ho jata hai to depression ke chances badh jate hain.
Medicines se is problem ko thik kia ja skta hai. 5-6 months iska medicines lena hota hai. Hum counseling pe bhi focus krte hain. Medicines se thode time ke lia depression jayega. And depression ke vapas aane ka bhi riska bna rehta hai. Islia medicines and counseling, both are important. Therapy me hum apko smjhate hain ki aap zingagi ke taklif se ladd sken. Taki agli bar aap khud ko depression se bacha sake. Kuch cases me depression badi bimariyon ka bhi sign ho skta hai jaise dementia, bipolar disorder. Agar iske bare me apko or jankari chaiye ya fir apka koi family member depression me hai to aap mujhse contact kar skte hain lybrate.com ke through.
Thanks!