Constipation Or Bowel Disorders!
Hi,
I am Dr. Pravin Gore, Proctologist. Today I will talk about Constipation. Iss mein aap ko stools mein problem aati hai. 100 mein se 60 people constipation se suffer kar rahein hote hain. Logon ke alag-alag concept hain constipation ke liye. Log medical store se medicines lete hain aur kuch log treatment lete hain. Is type ke treatments se kuch dino tak hi patient ko aaram milta hai. Lekin baad mein pressure banna band ho jata hai. Kuch logon ko itni problem ho jati hai ki kabhi-kabhi unhein finger se waste ko nikalna padta hai.
So iska treatment bahut important hai kyunki hume janna hai ki constipation kis type ka aap ko hua hai. Ek bar hume vajha pata chal jaye to iska ilaj bohot easy ho jata hai. Isiliye humne dietition rakhein hain aap ko solution dene ke liye. Ye aap ko help karte hain ki bina kisi operation ke aap ko kaise help mil sakti hai. Medicines and pelvic floor therapy aap ko kaise help kar sakti hai. Isliye hum confidence ke sath kehte hain ki hum patient ki life mein change la sakte hain. Operation ke 4 types hain jiss se constipation ki problem ko thik kiya ja sakta hai. 1st is Stapled transanal rectal resection (STARR). 2nd is laparoscopic surgery, isme hum aap ki constipation se related jo bhi problem ho jati hai vo sab hum thik kar dete hain. Childbirth bhi aap ko constipation ka problem deta hai. Aise patients ke liye pelvic floor therapy bohot achi hoti hai. So, constipation bohot common problem hai. Isiliye iska treatment bahut important hai and ye problem thik ho sakti hai.
Thank You!