Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Acne: How To Get Rid Of It?

Profile Image
Dr. Shaurya RohatgiDermatologist • 15 Years Exp.MBBS, MD - Dermatology , Venereology & Leprosy
lybrate_youtube

Namaskar!

Main hun Dr. Shaurya Rohatgi. Main ek charm rog visheshagya yani ki skin specialist hun or Mumbai shahar mein practice karta hun. Aaj hum baat karenge keel aur muhaso ki takleef ke baare mein jise hum Acne kehtte hain. Yeh takleef na sirf 13-19 saal ke ladke aur ladkiyon mein hoti hai. Yeh uske baad bhi adult age 30-35 saal aur se bhi aage mei ho sakti hai. Muhasu ka hona ek skin ki takleef hone ke sath sath mansik roop se bhi ek vyakti ko kamzor banati hai aur uske atmavishwas ko affect karta hai. Sabse pehle hum baat karenge Acne se judi hui sari galatfemiya yani ki misconceptions or myths jo Acne ke baare mein alag alag madhyam se hum tak pahunchte hain specially Internet se jo hum tak pahunch gaye hain.

Kisi bhi tarah ki creams jo aap ke rishtedar, dost ya phir internet pe ya phir internet ke adds ke dwara aap tak pahunchte hain unko kabhi bhi apne se istamal nahi karna chahiye. Sabse jyada khatarnak aise creams hote hain jin mei steroids mix kiya hua hota hai. Ye gora hone ke liye aur doosre karano se jo log inko istemal karte hain, under peer pressure karte hain, logo ki advice pe istemal karte hain. In ka istemal bilkul bhi nahi karna chahiye. Iske alawa log tarah tarah ke videos aur salah pe self-treatment yani ki home remedies karte hain. For example- toothpaste lagana face ke upar, nimbu ka ras lagana face ke upar, garlic lagana, multani mitti lagana, face packs lagana, parlour mein ja kar clean-up wagera alag alag cosmetic procedures karna.

Yeh sab karne se chamdi kharab hoti hai. Pimples badh sakte hain aur permanent damage bhi ho sakta hai skin ke upar. In sab galat treatments ki wajah se acne or pimples badh sakte hain. Pimples badhne ki wajah se scars and marks ki matra face pe badh sakti hai. Acne ka treatment kafi simple hota hai. Cream, face wash or tablet se acne ka nidhan paya ja sakta hai. Jin logon ko pimples ke kaaran scars ya marks hote hain specially jo log apne haathon se fodte hai, unn scars ka bhi treatment kiya ja sakta hai laser ke dwara. Apne pimple se related takleef ke nidhan ke liye mujhe lybrate par sampark karein.

Dhanyavad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Acne/Pimples treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details