Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Recurrent IVF Failure And Pregnancy Loss

lybrate_youtube

Hi, I am Dr. Rhythm A Gupta, Gynaecologist.

Aaj main aapko recurrent IVF failure and pregnancy loss ke baare mein bataungi. Iske treatment me IVF kaise help kr skta hai. IVF krane ke 2-3 times bad bhi treatment successful nhi hua hai. Iske causes egg and sperm quality pe depend karta hai. Ye endometrium pe bhi depend karta hai. Kuch cases mein dekha gaya hai ki dono hi normal hote hain par tab bhi IVF me success nahi milta hai. Fir hum dekhte hain ki quality ko improve krne ke lia hume kisi or medicine ki requirement hai ya nhi.

Egg quality ko imporve krne ke lia hmare pass kuch medicines hi available hoti hain. Sperm quality ko improve krne ke lia bhut jyada medicines available nhi hai. Uterine lining ko improve krne ke lia bhi kafi techniques hain. Isko improve karne ke liye hum PRP karte hain. Par ye unhi logon me kam krta hai jinme lining patli hoti hai. Hum hysteroscopy ke through lining ko improve krte hain. Next procedure hai endometrial scratch. Hum patient ko artificial hormones dete hain tablets ke through.

Ye lining ka tissue sampling ke through remove kia jata hai. Kayi baar dekha jata hai ki egg and sperm dono hi perfect hain to un cases me hum PGS krte hain. Isme genetic test kia jata hai and dekha jata hai ki vo normal hai ya nhi. Agar vo normal hota hai to pregnancy ki possibility kafi badh jati hai. Iske through hum recurrent IVF failure ko treat kar sakte hain. Kayi baar ye bhi dekha jata hai ki pregnancy to ho jati hai but fir miscarriage ho jata hai. Iska main cause genetic bhi skta hai.

Isme genetic analysis kia jata hai. Iska dusra cause ho skta hai uterus abnormality. In problems ko hum hysteroscopy ke through thik kr skte hain. Ek problem hai thrombophilia. Kuch ;adies me nerves me blood clot hone ki possibilities kafi hoti hain. Iska treatment bhi available hai. Kayi bar koi bhi reason nhi hota hai but still pregnancy continue nhi ho pati hai and miscarriage ho jate hain. Aise me hum semen analysis krte hain. Isme IVF se treatment success mil skta hai. Isme egg, sperm ki quality thik ho skti hai. Isme best sperm and egg choose kia ja skta hai. Sime pregnancy ke chance badh jate hain.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for In Vitro Fertilization (IVF) treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details