Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Pilonidal Sinus And Its Treatment

Profile Image
Dr. S K Singh, Sushruta Ano Rectal Institute Piles And Fistula TreatmentGeneral Surgeon • 37 Years Exp.M.S. (Ayurveda), Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. S K Singh, Ayurveda, Sushruta Ano Rectal Institute (Piles & Fistula treatment), Delhi. Aaj hum baat karenge pilonidal sinus ke bare mein. Mein aap ko bataunga ki ye kya hota hai and iske symptoms kya hain. Ye problem unmein jyada dekhi jati hai jinki skin pe hair bohot hote hain. Ismein spine bone ke niche ek pimple ho jata hai jisme water, pus discharge hota hai. Ismein pain koi prominent symptom nhi hai. Ismein pain tabhi hota hai jab pus jyada hota hai and bahar nhi aa pata hai. Ab mein aap ko bataunga iske treatment ke bare me. Isme medicinal treatment jyada effective nahi hota hai. Jahan pain and swelling jyada hoti hai vahan hum medicines recommend karte hian. Lekin fir bhi sinus khatam nahi hota hai. Or fir iske liya surgery recommend ki jati hai. Surgery mein utne hisse ko cut kar diya jata hai.

Kayi bar open wound heal kia jata hai or nhi to stitch laga ke close kar diya jata hai. Lekin surgery ke baad bhi recurrence ke chances hote hain. 20% cases mein ye problem dubara hone ke chances hote hain. Ab iska permanent solution kya hai? Ayurveda mein hum kshar sutra treatment dete hain aap ko. Jo isko permanently khatam kar deta hai. Hum pehle proper track define karte hain. Uske baad ek medicinal thread place karte hain. YE thread har week change kia jata hai. Kyunki us thread ki medicine 1 week tak kam karti hai. Ye per week ke hisab se heel hota rehta hai. Agar aap ka pilonidal sinus 2-3 cms hai to aap ko 4-6 visits karna hota hai. Ek bar puri taraha se heal hone ke baad ismein dubara hone ke chances khatam ho jate hain. To aap ye surgery kisi bhi ayurveda Dr se le sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Surgery treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details