Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Panic Attacks

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 18 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hello friends,

I am Dr Vikas Deshmukh I am a psychiatrist and sexologist working in Vashi, Navi Mumbai.

Aaj hum log discuss karne wale hain panic attacks and panic disorder yeh dono cheeze kya hai, aur dono ka difference kya hai, aur unka ilaj kaise kar sakte hain. Panic attacks hindi mai aap bol sakte hai unko bhay ke dorey, panic attacks ek aisi cheez hai ke achanak se out of the view jise bolte hain koi bina reason ke achanak se bahut jayada darr lagta hai ghabrahat hoti hai, hath-paon kampne lagte hain, chati mein dard hota hai, dhadkane tezz hoti hai aisa lagta hai ki abhi jaan chali jane wali hai, bahut kuch bura mere sath hone wala hai, heart attack aane wala hai ya brain stroke aane wala hai aur abhi mai bachunga nahi. Iss cheez ki sthiti jab hoti hai usme chakkar aane jaisa hota hai, ulti jaisa lag sakta hai, bechaini bahut lag sakti hai toh isko hum panic attack aisa bolte hain. Yeh attack ek se jyada baar agar ho ek mahine se jyada rahe aur hamesha iss cheez ka darr laga rehta hai ki mujhe kab attack aa jayega, kab attack hoga aur iski wajah se mera bahar jaana mushkil hone laga ho, toh isko bolte hain panic disorder. Mujhe mera ek patient abhi bhi yaad hai jo panic attack ki wajah se apne kaam pe nahi ja pata tha kyunki usko mumbai mein travelling rehta hi hai, toh usko hamesha darr laga rehta tha ki agar mujhe aisa attack train mein aaye, bus mein aaye toh mujhe bachayega kaun, phir usko kaam pe pahunchanee ke liye uski wife uske sath ek ghanta travel karke jati thi aur usko chod ke aati thi aur pick up karne ke liye wo wapas ek ghanta jati thi. Toh iss tarah se quality-of-life patient ka hamper ho gaya tha ki chodne ke liye aur saath mein hamesha uske koi na koi rehna chahiye tha, even kaam par jane ke liye bhi toh jab humne uska treatment kiya toh woh sahi se akela har jagah jaane laga apna kaam dhang se karne laga uska quality-of-life bhi bahut sudhar hua hai. Toh panic attack ki wajah se bahut sare problem patient hote hain unki ladies ko hote hain bahut baar patients jakerke hospital mein admit ho jate hain, sare ilaaj karate hain, sare janche karate hain ECG, 2D-Echo, cardiogram jise bolte hain isko ECG ko, dusra treadmill testing sare test karate hain, sare janche normal aane ke baad patient pareshan rehta hai ki aakhir kya hua hai ki mujhe samajh nahi aa raha hai ki nahi dekh raha hai kisi jaanch mein. Agar doctor aware raha toh doctor jaldi se psychiatrist ke pass refer karte hain yeh panic disorder treatment ke liye. Toh isme bahut sara paisa, bahut sara waqt aur bahut sari mehnat jaya jati hai bahut baar. To panic attack ka ilaj kya hai, panic attack ka ilaj doh tarike se ho sakta hai ek medicine se aur dusra behaviour therapy jisko bolte hain cognitive behavioural therapy, medicine mai doh tarike ke medicine rehte hain ek immediate relief dene wale aur ek long term mein jo attack prevent karte hain, baki attack nahi aaye isme kaam karne wale, jisko hum bolte hain Accessorize Serotonin Reuptake Inhibitor. Aur cognitive behavioural therapy mein hum patient ko samjhte hain ki panic attack exactly kya hai, ki jaan ko khatra isse nahi hota hai aur aise agar attack aate hain toh aap kya kya kar sakte hain inse dur jane ke liye ya future main nahi aane ke liye. Toh panic attack ke baare mein satark rehna bahut zaroori hai aaj kal ke tanav ki zindagi me panic attacks bahut bade hain aur isme bilkul bhi darne jaisi baat nahi hai, isse jaan ka aapko khatra nahi hai.

Iske baare mein aur jayada information or jayada aapko discuss karna hai to mujhe aap contact kar sakte hain lybrate.com ke through.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Anxiety Attacks treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details