Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Sep 14, 2020
BookMark
Report

Dementia

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 18 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hello Friends!

I am Dr. Vikas Deshmukh. I am a psychiatrist and sexologist practicing in Navi Mumbai. Friends aaj hum baat krenge dementia ke baare me. Ye aksar old age logon me aya jata hai. Ye bimari kya hai? Ye ek bhulne ki bimari hai. Isme aadmi ki memory effect hoti hai. Is vjha se uska pura lifestyle impact hota hai. Demetia ke bhut sare types hain jinme se 2 bhut important hain. Alzheimer's and vascular. Or kbhi kbhi in dono ka mix dementia bhi paya jata hai. Kuch reversible dementia bhi rehte hain. Jaise hypothyroidism, depression, vitamin deficiency.

Dementia me exactly kya hota hai. Generally ye apko 50-60 years ki age ke baad hota hai. Dementia me mukhye complaint rehti hai ki patient baar baar bhulta hai. Kbhi kbhi close relatives ke naam bhulna, chizen kha rkhi hain vo bhulna. Example ke lia dementia ka patient kbhi kbhi keys ko freeze, oven me bhi rkh skta hai. Close relatives ke face bhulna. Apne relations ko bhulna. Apne ghar ka address bhi bhul skte hain. Kisi bhi chiz ka istemaal kaise krna hai vo bhi patient bhul skta hai.

Planning and organisation me jaise chai bnani hai, to patient ko ye chizen bhut complicated lgti hain. Patient ko confusion rehta hai ki konsi chiz pehle or konsi chiz baad me krni hai. Patient kbhi kbhi apne khud ke ghar me bathroom/room ka direction bhul jata hai. Iska basic karan kya hai. Thyroid hona, vitamin B12 ki deficiency hona. Alzheimer's Dementia ka karan hai, kuch proteins bante rehte hain jo patient ke dimag se saaf hone chaiye, vo nhi ho pata hai ya vo procedure slow ho jata hai jis vjha se protein ka collection hona shuru ho jata hai.

Vascular dementia me blood flow kam ho jata hai. Dementia ka treatment kya hai? Sabse pehle doctor ke pass leke jaiye patient ko. Alzheimer's dementia me patient ko cure nhi kar skte ho aap but memory loss ka speed aap kam kar skte ho. Aap patient ka quality of life treatment se badha skte hain. Patient se aap simple language me baat kro. Keep the sentences simple.

Keep one liner sentence for the patient. Aap baar baar ghar ke saman ko ya unko position change mat kriye. Unse jyada communicate kriye. Agar patient kisi game me interested hai like playing cards to aap unke sath vo game play kren. Ye cognitive exercises dementia ko delay krne me help krti hain. Aap kaise dementia ko prevent kar skte hain? Aap exercise, diet and cognitive exercise for brain kriye.

Vo games jyada kheliye jisme budhi ka istemaal jyada ho. New books read kriye. New games kheliye. Jitna aap new things sikhte hain utna aapka synaptic formation strong hota hai. In sab activities se aap dementia prevent kar skte hain. Thank you very much for listening. For appointments, please visit lybrate.com.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Memory Loss treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details