Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Care for New Born Baby

Profile Image
Dr. Sanjeev KumarPediatrician • 27 Years Exp.MD - Paediatrics, MBBS
lybrate_youtube

Me Dr Sanjeev Kumar hoon, in Faridabad. Aaj hum baat karenge care of a new born baby.

Ek navjaat shishu kya hota hai?

Ek navjaat shishu wo hota hai jo Pehle 28 dino ka baccha hota hai, use hum navjaat bolte hai.

Navjaat baccho ko hum special kyu kehte hai?

Wo baby ki tendency hoti hai bohot jaldi infection hone ki, bohot jaldi shareer thanda padne ki, aur bohot jaldi unki jaan ko khatra bhi hojata hai.

Jab baccha paida hota hai to sabse pehle bacche ko maa ka doodh pilana chaie. Jab maa apne bacche ko seene se lagati hai tab maa ko is baat ka idea hojata hai ki baccha doodh theek se pee raha hai ya nahi pee raha hai. Aur isi se andaaza lagaya ja sakta hai ki mera baccha theek hai ya nahi hai.

Agar baccha maa ka doodh acche se pee raha hai aur ek bar doodth peene ke baad 2-3 ghante sota hai, 6-7 baar susu karta hai, aur agar bacche ka wazan theek se badh raha hai to iska matlab baccha bilkul theek hai. Aur bacche ki awaaz buland hai jab wo rota hai, iska matlab baccha theek hai.

Lekin agar baccha lazy hai, chidchida pan hai, doodth kam pee raha hai, tatti me khoon araha hai, neela ya peela pad raha hai, safed pad raha hai, iske liye doctor ke paas jana zaruri hai.

Jab maa bacche ko doodh pilati hai, kahi baar maa ko lagta ki mera doodh he nahi aarha hai, ya mere bacche ka pet he nahi bhar raha hai. abse important hai ki agar baccha 6-7 baar aur baccha ek baar doodh peene ke baad 2-3 ghante soe aur uthne ke baad agar baccha buland awaaz me ro raha hai, iska matlab baccha theek hai. Aur agar maa ko lag raha hai ki baccha pet bhar ke doodh nahi pee pa raha hai, tab wo ek kaam kar sakti hai ki jab doodh pilaya aur doodh pilane ke baad agar baccha sota nahi hai, sika matlab hai ki bacche ka pet bhara nahi hai. Iske liye sabse important hai ki maa ko khush rehna hai. Isme husbands ka role bohot important hai, jo ghar ka environment hai wo ekdam theek rehna chaie. Aur maa jab apne bacche ko godd me leti hai to use bhagwan ko thank you bolna chaie  ki," thank you bhagwan, tumne mujhe baby diya hai, mujhe doodh bhi dena". Jab maa aisa sochti hai, tab doodh badhta hai. Doodh maa ke stan se nahi brain se paida hota hai.

Agar maa acche se khae aur zada amount me paani peeye, to bacche ke liye doodh aram se ata rahega. Lekin agar fir bhi maa ko lagta hai ki doodh kam ban raha hai, to uske liye ek baar bacche ko doodh seene se laga ke pila de aur fir bhi doodh kam pade to chammach- katori se doodh pilade. Isse dheere dheere maa me doodh badhta jaega aur ooper ke doodh ki requirement bhi kam hojaegi. Bacche ka pet bharne lgega aur baccha fit bhi rahega.

Chote babies ke sath risk hota hai, thanda padne ka. Chote babies Kabhi-Kabhi 40 Degrees temperature me bhi thande pad jate hai. To iske liye sabse zada important hai ki bacche ko head se toe tak cover karke rakhna chaie. Topi zarur pehnani chaie.

Ek maa apne bacche ko touch karke he bata sakti hai ki bacche ko thand lag rahi hai ya nahi lag rahi hai. Agar maa ne bacche ko hath lagaya aur fir apne pet ko hath lagaya, agar dono garam hai, iska matlab baccha ekdam theek hai. Agar hath thanda hai, aur pet garam hai to matlab bacche ko thand lag rahi hai. Aur agar dono thande hai, to baccha serious hai.

Aaj kal sabke ghar me sari facilities hai, air conditioner hai, to aise me bacche ko garam rakhne ka sabse accha tareeka hai ki maa apne bacche ko seene se lgale aur baar baar doodh pilana. Maa ke doodh pilane se, maa ko bohot faede hote hai, jese ki maa ko cancer se bachaav hota hai, ovarian cancer, breast cancer, aur maa emotionally khush rehti hai.

Agar aap is vishay me kuch aur janna chahte hai to aap Lybrate ki website pe jaa kar, login in karke contact kar sakte hai.

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for New Born Care treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details