Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 01, 2024
BookMark
Report

Acne And Pimple

Profile Image
Dr. Sandesh GuptaDermatologist • 29 Years Exp.MBBS, Diploma in Venerology & Dermatology (DVD)
lybrate_youtube

Hi!

I am Dr. Sandesh Gupta, your skin specialist. Aaj hum ek bohot hi common condition ke bare mein discuss karenge jo ki acne aur pimples hoti hai. Acne aur pimples bohot common conditions hota hai. Ye 15-20 years ke beech mein male ya female dono mein payi jati hai. Aaj hum discuss karenge ki acne kya hota hai, acne kyu hota hai, kya hum kar sakte hai acne ke liye apne aap self mein, kis doctor ke pass hame jana chahiye, prevention kya hona chahiye acne ka aur uski diet ke bare mein aur agar acne hamari pehle past mein hue hai to unke liye hame kya uske scars ya marks aa chuke hai unko hatane ke liye hame kya karna chahiye? To sabse pehle hum baat karte hai acne kya hota hai. Acne hamara ek hair follicle, ek sebaceous gland hoti hai uska ek infection hota hai. Jab bhi sebaceous follicle mein sebum ka content excessive ho jata hai to uske andar infection aa jata hai; tab hamare acne bante hai. To bohot sare factors hote hai jo iske sebum ke infection baddha sakte hai ya sebum ke production badha sakte hai to unn sab cheezo ko hum aaj discuss karenge.

Acne kayi tarah ke ho sakte hai jaise papules, blackheads, whiteheads, pustular acne, nodulocystic acne aur shroud acne. Bohot sari dawaiyon ke side effect ke roop mein bhi acne aa sakte hai, bohot sari creams aisi hoti hai jo cosmetic use mein use karte hai unse bhi uske side effect mein bhi acne aa sakte hai. To hame inn sab cheezo ka khayal rakhna hai. Ek to ye ki hum acne mein kya kya nahi karein. To acne me hame face ko bar bar touch nahi karna chahiye, apne balon ko face ke upar pade nahi rehne dena chahiye, acne ko pinch nahi karna chahiye aur thoda sa jaise diet mein agar hum change kar sakte hai, to usme diet mein change karna chahiye kyunki acne ke liye kuch factors hote hai jisko hum agglutinin factors kehte hai jaise stress: physical ya mental stress, food: food mein bohot sari cheezein jaise junk food ho gaya, oily food ho gaya aur jo hum bahar ki cheez khate hai jaise chocolates ho gayi ya jo hamare friends gym mein use karte hai kisi prakar ka bhi protein ya steroids agar hum lete hai to usse bhi acne aane ke chances rehte hai.

To iske prevention mein sabse pehle hame dekhna hai ki apni diet ko proper karna hai, jo water intake hamara zada hona chahiye, leafy vegetable zada leni chahiye hame, fruits ka use karna chahiye, salads use karna chahiye aur face ke bare mein hum dekhein to face ko touch na karein, balon ko na girne de, pinch na karein usko, make-up excessive na lagein, zada der ke liye na lagaein aur rat ko sone se pehle hum face ko wash karke soyein. Kisi bhi prakar ka steroid jo hum gora hone ke liye ya acne ko kam karne ke liye lagate hai ye bohot harmful hote hai. Market mein bohot sari tarah ki steroids hote hai jaise clobetasone, beclomethasone, betamethasone, mometasone, hydrocortisone kyunki hame koi bhi steroid apni face ke upar nahi lagana chahiye, yeh bohot harmful hote hain. Ab baat aati hai ki hame agar acne aa gaye hai to kis doctor ke pass jana chahiye. To koi bhi qualified doctor jo ki acne treat karne mein saksham hai hum uske pass ja sakte hai aur acne ke liye hame ek particular time ke liye say for 3-4 months ke liye hame particular isme treatment lena chahiye aur isme repeated cycles mein treatment hota hai jaise aap ko 15, 15 days mein ya 20, 20 days mein doctor bulaenge aur aap ko vaha par jana hai.

Kuch vo cream denge, kuch tablet denge khane ke liye to in sab cheezo ko hame regular use mein karenge ki 3-4 months ke interval mein acne chale jate hai, us particular time ke jo infection aa chuka hai us time ke liye. Bad mein acne kabhi bhi aa sakte hai. Theek. Ab jo scar ya marks hamare face pe aa chuke hai unke liye hame kya karna hai. Acne marks ko hatane ke liye hum microdermabrasion, chemical peels ka sahara le sakte hain ya bohot sare marks hamari self hi resolve ho jate hai. Aur kuch aise marks hote hai jo deep marks hote hai ya scar jinko bolte hai ye hamare ate hai jaise past mein kabhi acne hame hue ho to uski vajah se acne ate hai. To agar vo vale scar hame aa chuke hai to uske liye hame laser ka sahara lena padta hai, jo acne scars ke liye ek matra laser hota hai fractional CO2 laser. To isme hame 8-10 bar sitting leni hoti hai aur 8-10 sitting ke baad hum 1-1 month ke interval pe leni hoti hai. Iske baad hamare sare scar chale jate hai. To dosto ye batein thi sabhi scar ke bare mein aur acne ke bare mein. Iske bad bhi aap ki koi query hoti hai to aap mujhko lybrate ke dawara contact kar sakte hai ya mera clinic Delhi mein hai aap kabhi bhi aake contact kar sakte hain.

Thank you and all the best!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Laser treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details