Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Pre-Pregnancy Counselling

Profile Image
Dr. Sushma DikhitGynaecologist • 43 Years Exp.Royal College of Obstetricians and Gynaecologists (MRCOG), MS, MBBS
lybrate_youtube

Main Dr. Sushma Dikhit, Gynaecologist.

Main aaj pre-pregnancy counseling ke baare mein baat karungi. Healthy pregnancy tabhi possible hai jab mother healthy hai. Ab ye kaise pata chalega ki mother healthy hai.

Bahut saari ladies pregnancy se pehle kaafi problems dekhti hai. To iske liye humein kuch test karne padte hain. 1st pregnancy me bhi kaafi logon mein anemia, thalassemia, thyroid, viral infections, HIV nikalta hai. Agar humein inke baare mein pehle pata ho, to hum inko treat kar sakte hain and optimum stage pe la sakte hain.

Islyei aapko pregnancy plan karne ke 3 months pehle doctor se milna chahiye. Is se hum complications ko avoid kar ke pregnancy ko normal stage pe la sakte hain. Pregnancy se 3 months pehle folic acids shuru kar den bahut saari pregnancy complications bhi kam ho jaate hain.

Is medicine ka koi side-effect bhi nahi hota hai. Agar mother me thalassemia ka problem hai to hum father ka test karate hain. Agar father me bhi problem hai to hum early pregnancy me baby ka bhi test kar sakte hain. Agar thyroid ka problem hai to usko bhi thik kiya ja sakta hai. Viral infections ko bhi timely treat kiya ja sakta hai. Isliye jab bhi aap pregnancy plan karen, 3 months pehle gynaecologist ko ek baar dikha dein.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Pregnant treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details