Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Lower Back Pain

Profile Image
Dr. Anil RahejaOrthopedic Doctor • 31 Years Exp.M.Ch - Orthopaedics - , MS - Orthopaedics, MBBS
lybrate_youtube

Hello friends.

I am Dr. Anil Kumar Raheja. I am an orthopaedic surgeon and my special area of interest is spine and joint replacement. Aaj hum ek bohot common topic ke baare mein discuss karne jaa rahe hai which is low back ache, kamar ka dard. Hum mein se har ek ko kamar ka dard kabhi na kabhi life mein hua hoga to usko kaise roka jaa sakta hai, iske kya treatment hai uske bare mein hum aaj discuss karenge. Main dekh raha hoon pichle kuch saalo se low backache ka incidence youngsters mein bohot badh gaya hai aur iska main cause hai posture; jo log computer pe kaam karte hain, sara din baithe rehte hain aur unka baithne ka posture theek nahi hai; unko yeh takleef zada hone ke chances hain. Adult age mein yani older age group mein degenerative condition of spine can lead to low backache aur ya phir wajan uthane se, aage jhukne se jo roz jinka kaam hota hai unko bhi ye zada samsya hoti hai.

Ab ye hai ki doctor ko kab consult kiya jaye? Low backache kyunki itni common bimari hai so when do we need to consult a doctor? So there are a few red flag signs. No. 1 is if your pain is going down the legs yani ki agar aap ka dard taango ki taraf jaa raha hai, pairo mein koi jhanjhanahat ya sunnpana ho raha hai ya aap ko urine pass karne mein dikkat ho rahi hai to aise mein aap ko turant doctor se consult karna chahiye, otherwise low back ache ko apne aap se bhi treat kar sakte hai. Agar aap ko sirf subha uthte hi thoda sa dard hai jo ki thodi activity ke karne se theek ho jata hai to aise cases mein aap ko sabse pehle jo karna hoga vo hai apne uthne baithne ka tareeka improve karna hoga; to usme aap ko hamesha jab bhi baithna aap ko kamar ke piche support laga ke baithna hai ya aap apni kursi pe cushion bhi rakh sakte hai. Jab aap drive kar rahe hote hai tab bhi aap ko piche ek chota cushion ya ek back support rakhne chahiye. Aap apne office mein baithe hai to aap har 45 minute ya 40 minute ke baad khade hojaiye, 3 ya 4 minute ka rest lijiye, thoda stretch kar lijiye uske baad aap dobara aakar baith ke apna kaam kar sakte hain.

Ismei diet ka bhi bohot important role hai agar aap high protein diet lete hain aur aap calcium rich diet lete hain to aap ko low back se bachne mein madat milti hai. Mainly jo aaj kal youngsters mein isliye bhi ho raha hai kyunki jo bache hain vo mostly indoors rehte hain, outdoor sports mein participate nahi karte hai jisse ki unki muscles development nahi ho pati aur vo weak reh jate hai. Doosra yeh hai ki aaj kal maine dekha hai mostly youngsters jo hai vo slouch posture mein baithte hain jab vani jaise kamar jhuki hoti hai unki us position mein baithte hai, to us position ko hame avoid karna chahiye. Ab yeh hai ki iska ilaj kya hai? Jab aap kisi ko kamar dard ho aur aap ke kuch red flag signs hai jo maine pehle discuss kiye tha to aap ko doctor se consult karna chahiye.

In mein sabse zada important jo mai manta hoon usko exercises ko manta hoon, to kamar ke exercise jo kahi bhi aap ko YouTube pe bhi videos uplabdh hai uske ya apne doctor ki salah se aap kamar ki regular exercises kijiye, apne uthne baithne ka tareeka theek kijiye, agar dard aap ki tang mein ja raha hai to doctor apko kuch dawaiyan prescribe karenge aur bohot hi rare case mein isme hame surgery ki bhi zaroorat padti hai aur surgery ke wahi indications hai ki agar aap ka dard aap ki tango mein ja raha hai ya aap ka pair sunn hone lag gaya hai toh phir isme operation ki zaroorat padti hai. Operation kayi tarike se kiya ja sakta hai; sabse pehle conventional tarika hai ki usme incision deke chira laga ke aur jo offending reason hai usko nikal dia jaye, disc ko nikal dia jaye jo disc offend kar rahi hai ya fir old age mein jinme ki haddi aage piche khisak jati hai ya haddi badi hone ki vajah se unke kamar mein dard hai; aise cases mein unko screw fixation karke aur jo spine ko decompress kar dete hai aur jo nerves impinge ho rahi hai badi hue haddi ke kaaran unko bhi decompress kiya ja sakta hai.

Aur ek beech ka tarika hai jisko percutaneous nucleoplasty bolte hain. Aise mein ek needle dwara jo disc hai usmei ek needle daal ke needle ko burn ya shrink kar diya jata hai jisse ki jo tango mein dard jaa raha hai vo dard kam hojata hai. Aur bhi tareeke hai microscopic surgery hai, endoscopic surgery hai bohot sare tariko se kamar ka operation kiya ja sakta hai lekin sabse jo important cheez hai vo hai ki kamar dard ko prevent karna chahiye jo ki jaise maine bataya ki aap exercises karke, posture theek rakh ke aur diet improvement karke aap aasani se usse chutkara pa sakte hain. Yadi aap kamar dard se peedit hai ya aap ko iske bare mein aur jankari leni hai to aap mujhse consult kar sakte hai aur mera clinic address hai C-25, ground floor, Vijayanagar, Delhi-9. Ispe aap prior appointment lekar mujhse mil sakte hai.

Thanks!

 

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Nerve Pain treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details