Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 25, 2023
BookMark
Report

Gall Stone - How To Treat It?

Profile Image
Dr. Vijay AroraGeneral Surgeon • 56 Years Exp.MS - General Surgery, MBBS
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Vijay Arora, General Surgeon. I am taking this opportunity to talk about stones. Gallstones are commonly known as pathri. It happens very frequently. It is mostly females, who get affected. Ye bachon ko bhi ho sakti hai. Kayi baar log samjhate hain ki bachon ko aisi bimari nahi hoti. Moti aurton ko hoti hai. Ye bimari kisi ko bhi ho sakti hai. Sabse jyada gallbladder mein stones hone se pain ki hoti hai. But kayi baar dard hoti hi nahi hai. Ye pehli baari kisi aur karan se koi test jaise ultrasound kiya, tab pata chalta hai ki gallbladder stones hain. Vo kehte hain ki humein kabhi dard hui hi nahi. Par agar aap unse detail mein pucho toh kabhi koi gas ki problem, heartburn, acidity, aisi problems hoti hain. In logon ko lagta hai ki pain hone se hi operate karana chahiyai. Bohut sare log bohut jagha ghum fir ke aate hain ki kisi aur tarike se ye gall stones dissolve ho jayen kisi medicines, diet se.u

Halanki aisa kuch hota nahi hai. Jab ek patient ko gallbladder stones ka pata chal jaye toh kya use operation kara hi lena chahiyai? Aur kya usmein koi urgency hoti hai? Jab tak ki symptoms nahi hon, urgency nahi hoti. Par gallbladder mein stones complications kar sakte hain. Jyada problem kar sakte hain, isliya ye jaruri hai ki inka ilaj time se ho jaye. Jab aap ko jyada taklif hogi like stomach pain, vomiting toh aap operation ke lia jarur jayenge. Gallbladder mein stones jyadatar un logon ko taklif dete hain jinko dusri kuch aur bimariyan hoti hain. Like mottapa, sugar, kidney problem, liver problem mein ho sakti hai. Ye bimari bachon ko bhi ho sakti hai and kayi bimariyan hain jo bachon me congenitally bhi hoti hain jiske andar blood picture kafi khrab hoti hai and thalassemia bimari ho sakti hai. Kuch bimariyan blood ke red stones ko destroy kar deti hain jis se gall stones ho sakte hain. Koi bhi karan ho par ek baar gall stones ho jaye toh usse bachne ke liya surgery sabse acha option hai. Kuch problem pipe mein aane se jaundice paida kar sakti hain. Pancrease gland mein digestion mein kam aata hai.

Agar ye stone duct mein ya uski paas vali duct mein fus jaye toh pancreas mein infection kar deti hain. Ye ek bohut khatarnak bimari hoti hai. Isko pancreatitis bolte hain. Vo dangerous and life-threatening bhi ho sakti hai. Pancreatitis ka ilaj bhi boht mushkil hai. Usually, ye apne aap settle kar sakti hai par agar bigde toh is se pura asar body pe pad sakta hai. Aur agar stones ggallbladder mein 10-20 years tak reh jayen toh unki irritation se gallbladder mein infection ho sakta hai, inflammation and cancer bhi ho sakta hai. Har stone cancer paida nahi karta. Par humne ye dekha hai ki jinko gallbladder me stones hote hain, unhi jyada cancer hote hain. In sab tak na phuchen. Pait mein agar dard ho toh Dr ko dikha ke rule out karen ki aap ko kya problem hai. Agar stones hain toh time rehte hi uska ilaj karayein. Operation hi iska sabse acha ilaj hai. Darein nahi, simple hai, laparoscopy, durbin se bhi hota hai ye treatment. Iska complete cure bhi hota hai.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Gallstones treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details