Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Back Pain

Profile Image
Dr. Vishwas VirmaniPhysiotherapist • 27 Years Exp.MPT, BPT
lybrate_youtube

Causes and Symptoms of Back Pain

Hello. Main ek physiotherapist hu. Mera naam vishwas virmani hai. aajkal kamar dard ke jo mareez hai unki sankhya bahut hi zada badhti jaa rahi hai. Kamar dard jo ki pehle kam logo mein paaya jaata tha aajkal bahut hi zada log isse peedit hai. aur jo bachhe hai bees bees saal ke bachhe hai, bees pachhis saal ke bachhe hai inko bhi kamar dard sata raha hai. unke liye mere pass do upaye hai. kyunki humlog subah se sham taka age ki taraf jhuke rehte hai baithna bhi ek taraf se aage ki taraf jhukna hi maante hai kyunki hum baithte bahut zada hai kamar dard hone ki sambhavna bahut zada badh jati hai.

Toh uska ek simple sa solution kya hai ke jab bhi aap baithege hare k beese minute ke baad aap uthiye aur kamar ko seedha karke bas peeche ke taraf jhuk jayiye jaise ki aap upar wale ko yaad kar rahe ho. Toh aapko har bees minute pe uthna hai jhukna haia ur upar wale ko yaad karna hai. dusra upay kya hai ki agar aapke kamar mein ya kule mein problem hai ya dard hai aur Sciatica ka complain hai ya aapko agar kisi ne kaha ho ke performance syndrome hai uske liye aapko kya karna hai ki ek ball lena hai, us ball ko rakhna hai, aur uske upar apna kula rakh dijiye, kuch is tareeke se. Kula rakh ke aapne apne ek taang ko upar kar lena hai aur uske baad ball ko kule ke upar thoda thoda ragadna hai. aap is ball ko thoda aage ragad sakte hai, side mein ragad sakte hai, jaha pe aapko sabse zada dard ho, us point ko ispe ragadna hai.

Dhanyavaad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Back Pain treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details