Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Mar 13, 2019
BookMark
Report

Ayurvedic Treatment

lybrate_youtube

Namashkar mitron!

Mai Dr. Sudhir Bhujbale, Ayurveda panchkarm chikitsak, Vasai, Mumbai se hun. Aaj hum Ayurveda chikitsa k bare me charcha karenge. Aksar hum sabhi log Ayurveda chikitsa k bare me ye jante hai ki Ayurveda chikitsa bahut dheemi gati se kaam karti hai or bahut lamba samay leti hai. Ab aisa kyu hai? Mai iske peeche ka vastav apko batana chahunga ki aisa kyu hota hai. Ayurveda chikitsa ki taraf hum log ek pareyahi chikitsa k roop me Ayurveda chikitsa ko dekhte aye hai or dekh rahe hai. Iski vajah se kya hora hai ki koi bhi patient Ayurveda chikitsa ki taraf bimaari hone k baad bahut der hone k baad jab usko kahi bhi proper hal nahi milta hai, tab vo Ayurveda chikitsa ki taraf modta hai. To bahut jada samay hone ki vajah se jo bhi bimari hai vo sharer k andar apne jado ko kafi andar tak pahucha k, apna ek sthaan bana k, sthaan bana leti hai. Toh iski vajah se fir aisi awastha me uski chikitsa karna bahut mushkil hota hai.

Dusri baat yeh hai ki jab patient aisi awastha me Ayurveda ki taraf ata hai, toh vo baki dusri chikitsa padhtiyon ka positive ya negative effect bhi sath me leke ata hai. To Ayurveda chikitsa jab shuru karni padti hai toh inn sari cheezon ka vichar karke usko shuru kia jata hai. To isi ki karand ki vajah se mukhyata, Ayurveda chikitsa me vo dheemi gati se kaam krti, isi vajah se vo dheemi gati se kaam krti hai or usme fir lamba samay lagta hai. To mera aap sabhi ko ye nivedan hai ki aisa agar hum log chahte hai ki Ayurveda chikitsa hume jald se jald faldayi ho, hume usse jald se jald bimari se chutkara prapt ho, to iske liye humne Ayurveda chikitsa ko naki pareyahi chikitsa ke roop me dekhein balki usko samantar chikitsa padhdhiti k bare me usko dekhein. Or jab bhi koi bimari hoti hai to hum log Ayurveda ki taraf bhi utne he pehle pahuche, jitne pehle hum baki chikitsa padhdhiti ki taraf pahuchte hai.

To tab jake hume sahi swasth sambandhi chikitsa mil sakti hai or ho sakta hai ki humara ye ye jo baat hai humare swasth k liye or humari bimari k liye bhi bahut achi sabit hosakti hai. Hum jo jo bimari hum jo aage leke lambe samay tak chalne vale hai, hosakta hai ki vo bimari humari bahut jaldi achchi hojae. To dosto isi vishya par adhik jankari k liye aap humari website www.lybrate.com pe jake, humara clinic profile jo hai Dr. Bhujbale’s Ayurveda and Piles Clinic pe jake aap prapt kar sakte hai.

Dhanyavad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Overeating treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details