Choti choti baatein bhulna koi bimari nahin hai. 1. Aapko thyroid hai - aapko apni diet ka and pani ka bahut dhyan rakhna chahiye. Diet samay par, aur sare din mein kam se kam 2-3 litres pani pina chahiye.
2. Exercise, yoga, jogging bahut zaroori hai - thyroid control aur energy level theek rakhne ke liye.
3. Ab aapke brain ke paas information overload hai, isliye important information likh kar rakheye. Ism koi sharam ki baat nahin hai - sabhi badi log zaroori kaam aur information likh kar rakhte hai. 4. Subah sabse pehla kaam - saare din mein jo karna hai, uski list banao aur ek ek kaam ho jaane par tick karte jaao. 5. Thoda dhyan lagao- meditation karo.
6. Khush raho. Relaxed raho.