Dear lybrate-user, What you are going through is OCD and it's normal to have such thoughts or any kind of thoughts. Since your recognise that these are thoughts, please also recognise that thoughts are just thoughts. If you do not allow them to overwhelm you or over power you, they have no power. Aisi soch aati hai toh aane do, woh jis tarah aaye waise chale jaayegi, is par itna dhyan mat do. Bhagwan toh bacchon ko maaf karte hain, kabhi badla nahin lete, gussa nahin karte.
Tum jis takleef se guzar rahi ho, yeh devi ma ko pata hai, woh kabhi tumse gussa nahin hogi. Par tumhen khud ko maaf karna aana hoga. Tumne is soch ke peeche khud ko kitana kuchh keha diya, thappad bhi mar li. Aage se aisa mat karna. Jab aisi koi thoughts aaye, toh khud ko kehna, Yeh sirf thoughts hain, main is thought se upar hun, main is pe dhyan nahin dungi" Agar bhagwan ko manti ho, toh apne vichar unko samarpit kar do aur bolo, "mere yeh vichar tumhe samarpit hain, ab tum mujhe rasta dikhao aur shakti do" Tumhare dad ko kuch nahin hoga. Hamesha yaad rakhna yeh sirf thoughts hain. Agar tumne is par dhyan nahin diya toh yeh chale jayenge.