Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Treatment Of Spine Problem, Cancer And Chronic Pain Without Surgery

Profile Image
Dr. Neeraj JainPain Management Specialist • 42 Years Exp.MBBS, MD, FIMSA, FIPP, CIPS - Certified Interventional Pain Sonologist
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Neeraj Jain, Pain Management Specialist. Today I will talk about the treatment of spine problem, cancer without any surgery. Ye treatment aap ko daycare mein diya jaat ahi and general anesthesia ki bhi jarurat nahi padti hai. Ye treatment without incision kiya jata hai. Aap ise needle surgery bhi keh sakte hain. Aaj kal heart ka treatment bhi angiography or stenting se kiya jaata hai. Hum laser treatment bhi use karte hain or radiofrequency treatment kiya jaate hain. Slip disc bohut common hai. Cervical pain bhi aaj kal common hai kyuki log phone bohut use karte hain. Lumbar disc ka bhi problem ho raha hai gym karne ki vajaha se. Sabse pehle aap ko precautions lene hain. Prevention is always a better option than a cure. Hamesha sidha baithe.

Sidha chalein jis se ki aap ko kam disease hon. Couch and slouch na banein. Humara spine "S" shape ka hota hai and jab hum ise "C" curve mein le jaate hain jiske vajaha se disc pe loading aati hai. Disc buldge hone se nerve and spinal cord press hoti hai. Humne dekha hai ki log weight aage jhuk ke uthate hain. Jitna aap aage jhukenge, utna disc pe loading hoga. Disc burst ho jaati hai. Back pain se ye disc problem mein aa jata hai and disc burst ho jaati hai. Leg mein bhi pain aa jata hai jise hum sciatica pain kehte hain. Kayi baar ye problem jaldi ho jaati hai agar humnein jyada weight utha liya. Sun hona, chitti chalna, pair ka kamjoor hona, power nahi lena.

Patlapan bhi aana start ho jaata hai agar hum care nahi karenge. Humnine bohut baar dekha hai ki log iski care nahi karte aur fir ye disease advance ho jaati hai. Jab jayada problem hoti hai tab patient Dr ke pass aate hain. Islia pehle hi care karein kyuki iske non-surgical treatments available hain jo bohut ache hain. Needle ke through hum laser pass karte hain and shrink karte hain. Extruded portion ko nikal kar portion ko seal kar sakte hain. Ye latest technology hai jo daycare procedure hai. Same day aap ghar chale jaate hain. Chal fir sakte hain. Aap ko bed rest ki jarurat bhi nahi padti hai. Surgery ek major operation hai. Ismein surgery puri hogi, cut lagega aur kayi baar mobidity bhi hoti hai. Long-term rest bhi lena padta hai. Heart ka treatment bypass se bhi hota hai but angio hai isliya bypass ki requirement hi nahi hai. Same way jab spine ka treatment needle se ho sakta hai to surgery ki koi requirement hi nahi hai. Kuch cases hain jo advance ho jaate hai vahan hum open surgery hi suggest karte hain. Isliya prevent it. Agar ho gaya hai toh non-surgical option len. Agar effect na aaye toh surgical option len. Hum advice karte hain ki exercise karein. Muscles tone rakhen. 10 minutes of daily exercises are recommended. Is se muscles tone rehti hain and disc bulge nahi hota.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Irregular Heartbeat treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details