Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Psychiatric Problems

Profile Image
Dr. Paresh TrivediPsychiatrist • 32 Years Exp.FIPS, PGDMLS, DPM, MBBS
lybrate_youtube

Know more about Psychiatric problems

Main Dr. Paresh Trivedi hu, main psychiatrist hu aur sex therapist bhi hu. 21st century ki sabse badi bimariya jo hoti hai who psychiatric bimaria hoti hai jis mein ki udaasinta, nairashya, sex ki problem, vyasan ki problems aur kai sari psycho somatic problems hai jo sharirik roop se ubhar kar bahar aati hai par uska karan mann ke andar hota hai yeh sab bimariya hoti hai. Mere clinic pe yahan par jo ki yah ape andheri west mein hai, yaha psychiatric consultation hota hai, psychological testing hota hai, aur psychologists bhi atey hai hamarey yahan, counselors bhi atey hai, toh ek all round treatment har patient ko mil sakti hai, jinn jinn ko jiss jiss ki yogyata hoti hai yah zarurat hoti hai, uss hisaab se hum unko uss type ki treatment dete hai.


Kayi bimariya aisi hoti hai jo ghar mein, family mein, rishtedaaro mein hoti hai par aap bata nahin sakte hai, aisi bimario ke liye ek consultation zaruri hai, jo humari clinic mein hota hai. Humare clinic mein EEG testing bhi hota hai, jo ki brain ki graph nikaalti hai. Jaise heart ki cardiogram graph nikalti hai, waise hi brain ki EEG nikalti hai. Plus aap ke liye specialized counseling bhi hota hai, counselors separate counseling sessions bhi lete hai, aur kai bimariya aisi hoti hai jiska discussion yah counseling se hi aap solution nikaal sakte ho, yeh sab services bhi humarey yahan available hai.


To jab bhi apko lagey koi personal yah psychological issue hai, mann mein koi doubts hai, yah kuch bimari ke barey mein shanka hai toh aap zarur contact kijiye, aur apne doubts clear kar lijiye, aur iss bimariyo mein jald se jald ilaaj karna bohut zaruri hai taki yeh bimariya thik ho jaye. Aur sabse badi galat faimi psychiatric bimari ke liye yeh hoti hai ki yeh thik nahin hotey hai, par yeh galat hai, sab psychiatric bimari thik ho sakti hain aur har bimari ka ilaaj hai.

Mann mein koi jhijak rakhey bina aap ghar se nikliye aur contact kijiye. Adhik jaankari ke liye aap mujhe sampark kar sakte hai Lybrate.com pe. Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details