Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Loss Of Libido

Profile Image
Dr. Shirish C MaldeSexologist • 30 Years Exp.MD, BHMS
lybrate_youtube

Hi All,

Mumbai se Dr. Shirish Malde, sexologist ka pranaam. Langik samsya ya yon samsya ke bare mein jab hum baat karte hain tab ek ahem samsya jo aksar hamare clinic mein jo aati hai vo hoti hai sex ke bare me ichcha nahi hona ya bahut kam hojana. Stree or purush dono mein hi yeh samsya dekhi jati hai halaki purusho mein sex ya performance oriented hota hai jabki streeyon mein yeh jyadatar emotional oriented hota hai. Isiliye jab vyakti apne life mein kahi bahut hi disturb hua hai tab sex ki ichcha kam hona swabhavik hota hai khaskar ke purush jab bahut hi stressful situation se gujarta hai, tanaav kafi rehta hai mansik roop se ya fir agar use koi aur yon samsya hai jaise ki agar ling mein uphaan hona yane ling mein jo kadakpan nahi aana ya bahut jaldi veere-patan hojana aise samsyaon se jab purush lambe arse tak peedit rehta hai tab dheere dheere voh apna atmavishwas gawa baithta hai aur sex ke bare me uski ruchi kam ho jati hai. Aksar smoking, alcohol ya kisi aur drugs ka sewan agar karte hain yeh sari adatein bhi sex ki ichcha kam hone mein ahem bhumika nibhati hain.

Aksar jo hamare lifestyle diseases hai jaise ki obesity, diabetes yeh samsya bhi sex ki ichcha kam karne mein ahem bhumika nibhati hai. Streeyon mein jaise humne kaha ki yeh agar disturb emotions rehte hain tab stree ki ichcha turant hi kam ho jati hai sex ki jo bhavnaye hain vo mrat ho jati hai. Obesity, diabetes ye streeyon mein bhi mayna rakhta hai aur jadatar hormonal imbalance particularly menopause ke waqt yeh streeyon mein bhi kafi mayna rakhta hai. Lakshan bilkul saaf hai. Ya to sex me bahut lambe interval hojate hai ya fir sex kam enjoyable hojata hai aise logo ke liye. Treatment bahut hi type ke treatment hamare pass uplabdh hain. Medicine kayi bar kam istemal ho aur counselling agar jyada istemal ho to kafi caso mein bahut hi acha positive result dekha jata hai. Medicines ka role supportive hota hai jabki relationship ke jab issue hote hain husband-wife mein agar vo issue ko bhi agar sahi mayne me identify kiya jaye aur agar kuch samsya hai husband-wife ke relation mein aur voh samsya ko jab suljhayi jati hai marital counselling ke jariye tab bhi yeh samsya mein result bahut jald aur ache dekhe jate hain.

Dhanyavad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Loss Of Libido treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details