Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Mar 17, 2023
BookMark
Report

Cancer Of The Digestive System

Profile Image
Dr. Vedant KabraOncologist • 29 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, Senior Residency Training Program in Surgical Oncology, Fellowship in Surgical Oncology
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Vedant Kabra, Oncologist. Is video ke through mai aap ko aanto aur peat ke cancer ke baare mein kuch batana chahunga. Baad mein btana chahunga ki kis tarah cancer se bachav kiya ja sakta hai. Choti aanth mein cancer kam hota hai. Agar kisi ko khana nigalne mein taklif ho rahi ho, yahan tak ki liquid diet mein bhi problem hone lage aur paani peene mein bhi problem hone lage toh ann nali ka cancer ho sakta hai. Jaise jaise khana kam hota hai vaise vaise uska vajan bhi kam hota hai. Agar paani peene mein bhi taklif ho toh ann nali ka cancer ho sakta hai. Peat ke cancer mein acidity ke symptoms aa sakte hain. Vajan kam hona, kamjori ana, ya fir motions dark color ke hone ya fir khoon ana. Aise hi badi aanth mein peat mein gadbadi hona, peat mein gas feel hona, constipation ya diarrhea hona, aapko baar baar aisa lagta hai ki stool pass hoga stool pass karne ke bavjud. So, agar aise koi bhi lakshan hon, toh humein uski jaanch jaldi se jaldi karani chahiyai. Kyuki agar cancer ko time pe pakada jayega, toh uska ilaj ache se hoga. Agar hum cancer stage 1 aur 2 mein pakad lete hain toh uska ilaj surgery ke through ho sakta hai.

Chemotherapy and radiation therapy ki jarurat nahi padti hai. Lekin agar cancer apne local area mein jyada badh chuka hai ya aas pass ki garanthiyon ko bhi involve kar liya hai, toh aise cases mein humein chemo ya radiation ki ya fir dono ki jarurat padti hai. Kabhi operation ke pehle diya jata hai toh kabhi baad mein. Jab 4th stage mein pahuch jaate hain aur dusre parts ko bhi effect karne lagta hai toh uska ilaj kar ke thik kar pana sambhav nahi ho pata hai. Fir bhi medicines and chemotherapy se aram diya ja sakta hai aur life ko badhaya ja sakta hai. Isliye humara aim yahi hona chahiyai ki koi bhi abnormal symptom ko check karayein. Aap ko maximum benefit milna chahiyai treatment se. Jaisa maine aap ko btaya ki tarah tarah ki surgeries hoti hain toh aan nali ke cancer mein ann nali ko pura nikalna padta hai aur fir hum peat se nali nikal ke gardan mein lake jodte hain. Aise hi agar peat mein cancer hai toh peat ka hissa nikal diya jata hai. Aise mein peat ki capacity kam ho jati hai and humare khane ki shamta bhi thodi kam ho jaati hai. Toh aise mein khana har thodi thodi der mein khana chahiyai.

Aise hi agar badi aant ya rectum mein cancer hota hai, toh bhi humein uska effected part nikalana padta hai. Iski vajaha se stool frequency badh sakti hai. Iske alawa humein khane peene mein bhi thode changes karne padte hain. Stomach ka cancer ya badi aanth ka cancer mein jab us hisse ko nikala jata hai toh humare sharir mein vitamin B12 ko absorb karne ki shamata chali jaati hai aur uska injection zindagi bhar humein lena padta hai. Agar humein cancer vahan hota hai jahan se hum stool pass karte hain, toh pehle us raste ko band kar ke ek permanent bag lagaya jata tha aur zindagi bhar usi bag se apne aap stool nikalta rehta tha bina control ke. Lekin kayi chizon mein advancement hue like surgical techniques, chemo radiation jiski vajaha se hum normal passage ko bacha kar operation kar paate hain ya kuch chemos mein unko radiation deke kam kiya jata hai. Aur jab vo kam ho jata hai toh usko normal margin mil jata hai vapas se jodne ka aur permanent rasta bach jata hai. Agar kuch patients jaise unko pehle se hi chemo mila hota hai toh unmein humein temporary rasta banana padta hai joki kuch mahine ya kuch hafton baad band kar diya jata hai aur normal passage chalu rehta hai.

Agar fir bhi kuch patients mein permanent rasta banana pade toh us se ghabrana nahi chahiyai kyuki uski proper training hoti hai. Uske liya humare pass specialised nurses hain. Aur jab aap bahar nikalte hain toh kisi ko pata bhi nahi chalta hai ki koi bag laga hua hai. Har ek treatment mein ek regular follow-up hona bahut jaruri hai check karne ke liya ki bimari vapas toh nahi aa rahi hai. Ya jo ilaj hua hai uske koi side-effects toh nahi hain ya fir aap ke sharir mein koi badlav aya ho us se koi problem ho rahi hai. Isliye timely detection and treatment important hain. Ek sawasth jeewan ke liya awashak hai ki humara khan-paan acha rahe. Humein ghar ka bana khana khaana chahiyai. Dine mein salad and fruits khane chahiyai. Achi sleep important hai. Regular exercise important hai. Physical health ke sath mental and spiritual health bhi important hai. Iske alawa kisi bhi type ke addiction se durr rahein jaise smoking, alcohol, tobacco. Iske alawa aap apne bachon ko bhi encourage karein ki outdoor sports mein involve hon. Early cancer symptoms ke baare mein aap ko information hona jaruri hai. Kuch cancers aise bhi hain jinko hum self-examination ke through pakad sakte hain. Jaise muh ka cancer ki muh mein koi ulcers na hon, breast and skin ka cancer. Ye vo parts hain jinko hum khud examine kar sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Acid Reflux treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details