Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Misconception About Heart Disease

Profile Image
Dr. Sameena KhalilCardiologist • 23 Years Exp.MBBS, DNB - General Medicine, DNB (Cardiology)
lybrate_youtube

Hi all,

Mera naam Dr. Sameena Khalil hai aur mai cardiologist hun. Aaj mai aap log ko batane vali hu ki ye jo soch hai ki har heart ki bimari ke liye operation ki zarurat hai ye sahi nahi hai. 80% bimariya jo hoti hai ya heart ki dikkatein hoti hai vo dawaiyon se theek hosakti hai. Aur sirf vo bimariyan jinme jaan ka khatra hai ya jo blockage hai jisse jaan ko risk hai sirf usme hame zarurat padti hai kisi operation ki nahi to fir mostly jo 80% bimariya hai vo dawaiyon se theek ki ja sakti hai. Ye decision ki dawaiya hi aap ke liye kafi hai ye bohot zaruri hota hai aur iske liye kuch janchein zaruri hoti jo hame is cheez pe batati hai ki jo aap ki blockages hai vo lambe time pe aap ko kitna risk dengi ya agar vo dawaiyon se hum theek kar sake to isse attack ka ya bar bar pain hone ka takleef to nahi hogi aap ko. Ye soch ke hame zindagi bhar dawayi khani padegi aur hame dawaiyo ki adat ho jati hai ye soch bohot galat hai.

Darasal heart ki bimari ya blockage ki jo dikkat hoti hai vo khansi zukham ki tarah nahi hoti ki jo hum dawayi khaye aur vo theek ho jaye. Ye jo dawaiyan ye jo bimari hoti hai ye hamare system ka ek part ban jati hai, hamari body ke andar jaise sugar ya blood pressure bhi jaise kehte hai, vo bhi heart ki bimari ki tarah hamare system ka ek part ban jati hai jiske liye continuous medication ya regular dawayi jise kehte hai ya exercise aur diet ka santulan bohot zaruri hota hai, sahi khana, sahi waqt pe khana, regular exercise karna aur kabhi bhi aap ye na sochein ki hum dawai khake usko band kare, bina kisi doctor ke permission se ya unse bina mile.

Hamesha jab bhi aap ko dawayi likhi jaye vo sahi tareeke se, sahi waqt pe khaye aur kabhi bhi bina doctor ko dikhae ya unke razamandi ke begair kabhi bhi apni dawaiyon ko band na karein. Regular dawai se apki jo life hai vo better ho sakti hai, bina dikkatein ke ho sakti hai aur hum jo hamari heart ki bimariyan hai use kafi hadd tak control kar sakte hai, itne hadd tak ki aap ki zindagi bhar dawaiyon pe kat sake aur aap ko koi operation ki zarurt na pade basharte aap sahi time pe doctor ko dikhaye aur unki jo raye hai ya unki jo advise hai aap ke liye usko regularly follow kare aur is agar aap aise karenge to aap ko koi takleef nahi ani chahiye.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details