Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Dec 16, 2022
BookMark
Report

Egg Freezing - Know The Benefits

Profile Image
Dr. Prerna GuptaIVF Specialist • 20 Years Exp.MBBS, MD - Obstetrtics & Gynaecology, MRCOG , Fellowship In ART
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Prerna Gupta, IVF Specialist, Dr Prerna Gupta MD AIIMS clinic, Delhi. Today I will talk about egg freezing which can help you in stopping your biological clog. Egg freezing aisa lagta hai ki jaise ek nayi science hai. Lekin ye bahut saalon se humare pass available thi. Aaj kal logon ki shaadi late ho rahi hai. Pehle 23-24 ki age mein jo shaadi hoti thi ab aisa kam hota hai and 30-32 saal ki age mein shaadi hoti hai. Aap ka career hote hai and aap ki age 35 tak ki ho jaati hai. AIsa farak aane se humare eggs mein bhi changes aa jate hain. Aisa kaha jata hai ki lady apne eggs leke paida hoti hai. Har mahine unmein se kayi hazaron eggs khatam hote rehte hain. Jaise jaise humari age hoti hai, humare eggs ki quality bhi kam hoti hai. Humara down syndrome bhi badhta rehta hai. Humara miscarriage 22-23 ki age mein bhi ho sakta hai. 40 ki age mein 40% women ko miscarriage ho sakta hai. Miscarriage ka karan ho sakta hai ki eggs ki shape kaisi hai. Jaise jaise humari age hoti hai, hum 3 chizon se lad rahe hoti hain. Humara ovarian reserve kam ho jata hai, eggs quality kam hoti hai and miscarriage rate kam hota hai. Healthy pregnancy k chances kam ho jaate hain.

Is problem ko solve karne ke lia egg freezing hai IVF department mein. Egg freezing 28-32 ki age mein kabhi bhi kara sakte hain. Jab bhi aap egg freezing karate hain, unki age utni hi rehti hai. Egg freezing young age ke lia hai, ye bahut jaruri hai kyuki ayi logon ko hota hai 38-39 ki age pe egg freezing ka socte hain. Ismein itna fayada nahi hota hai. Egg freezing ki jarurat un logon ko jyada hoti hai jinhein cancer hai ya fir aap 30-32 ke ho gaye hain and aap ka shaadi and bache ka koi plan nahi hai. Hum prefer karte hain ki jab aap egg freezing karayein toh aap 35 ki age se kam mein karayein. Taki hum aap ko healthy bacha de sakein. Egg freezing IVF jaisa hi hota hai. Ismein aap ko pehle infertility ke Dr se milna hota hai. Usmein aap ka ultrasound kia jata hai. Vo aap ko blood test bhi prescribe kar sakti hai. Iske baad aap ka IVF cycle shuru hota hai. Jismein aap ke mahine dusre din se injection chalte hain. Operation mein koi operation nahi hota hai eggs nikalne ke lia. Ye ek ultrasound ke through kia jata hai. Usmein ek patli si needle daal ke eggs nikal dia jaate hain. Fir in eggs ko freeze kia jata hai.

Dusri condition hai ki aaj kal humare pass married couple aa rahein hain. Vo bhi egg freeze karate hain. Toh aise case mein patient ko suggest kia jata hai ki embryo freeze karaya jaaye. Yahan pe egg freezing ka jaisa hi kaam hota hai but ismein bacha bana kar freeze kia jata hai. Embryos mein jyada capacity hoti hai. So, agar aap married hain to embryo freezing karayein. Agar patient kis surgery ke lia ja rahi hain like endometriosis toh unhein suggest kia jata hai ki egg freeze kara lein. Taki number of eggs mein kami na aaye. Iska success rate bahut acha hai and sahi age pe karan chaiye kyuki egg quality achi hoti hai and humein numbers ache milein. Lekin aap ko dhayan rakhna hai ki aap jahan bhi egg freezing ya fir embryo freeze karayein vo achi lab ho. Mujhe asha hai ki aap ko ye jankari aci lagi hogi.

Agar aap ko koi question hai toh aap mujhe contact karein.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Fertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details