Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Child Ortho Care

Child Ortho Care

Orthopaedic Clinic

C-7, Ground floor, adjacent Dr Ashok Wasan ENT Clinic, in front of D-Park, Model Town 3
4.6
6ratings
1 Reviews
1 Doctor
₹ 600 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

It is important to us that you feel comfortable while visiting our office. To achieve this goal, we have staffed our office with caring people who will answer your questions and help you u...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
07:00 PM - 09:00 PM

Clinic Location

Videos

Club Foot - How To Treat It?
Club Foot - How To Treat It?

Hi,

I am Dr. Nargesh Agrawal aaj mai aap ko club foot ke baare mein bataunga. Ismein bachon ke paair ghume hue hote hain. Is bimari ke baare mein bache ke paida hone se pehle hume ultrasound ke time pe hi pata chal jaati hai. So, treatment should be started as early as possible. Jaise hi bacha paida hota hai, from day 1 hi hume treatment shuru kar dena chaiye. Parents question karte hain ki aisa mere bache ke sath kyun hua hai? Iske kayi sare karan hai jaise maa mein pani ki kami hona, kuch genetic reasons bhi hote hain, mascular reasons hain. Isko hum idiopathic clubfoot bolte hain. Ismein parents puchte hain ki iska ilaj kya hai? Kya unka bacha chal payega ki nahi? Jitna jaldi aap treatment shuru karte hain, uska utna hi acha result ata hai. Isko hum jaldi hi correct kar sakte hain. Ismein 3-4 plasters lagaye jate hain. Uske baad chote se operation ki jarurat padti hai jismein hum pairon ki ek nerve ko repair karte hain. Ismein bohot chota cut diya jata hai jismein stitches dene ki bhi jarurat nahi padti hai. Ise hum local anasthesia mein kar dete hain.

Bache ko admit karne ki jarurat bhi nahi padti hai. Uske baad 4-5 plasters mein bache ka pair thik ho jata hai. Parents question karte hain ki bache ko operation se koi problem toh nahi ayegi. Toh aisa nahi hai. Bacha bilkul thik rehta hai. Ismein bache mein nayi nus develop hoti hai. Operation ke baad bache ko hum braces se bandh dete hain. Ismein patient question puchte hain ki kya rod lagana jaruri hota hai. Yes, ye important hai kyuki tabhi pair correct position mein aata hai. 3 months me bache ko acha result mil jata hai. Shuru mein bache ko dikkat hoti hai but dheere dheere bacha bilkul thik ho jata hai. Humein plaster 4-5 years tak bache ko pehnana hota hai. Bache ko shoes shuru ke 3 months tak pehnane hote hain. Bache ko ye shoes 4-5 years tak pehnaye jaate hain aur jab vo soo raha ho tab pehnaye jate hain. Humare paas aaj ek parents available hain. Mai unka feedback aap ko dilvata hun. Ye aap ko btayenge ki total treatment kaisa raha or kya kya problems hui. Kya outcome aaya hai.

Parents: Humara beta clubfoot ke sath paida hua tha. Hum kafi preshan the ki kis tarike se uske pair thik honge. Mene kafi search kiya online and tab jake mujhe in Dr. ke baare mein pata chala. Maine online review bhi dekhe. Mere bete ko inhone 6 plasters lagaye the jisse mera beta bilkul thik ho gaya. Dr. ne jo shoes recommend kiya hain vo hum apne bache ko pehna rhein hain. Ye 3 months ka process hain and hume ye shoes 3 months tak pehnane hain.

Dr: Aap ka operation kaisa raha. Aap ko kya kya problem hui.

Parents: Surgery kafi achi rahi. Bacha thoda roya tha baki koi bhi problem nahi hui. Ab after treatment hum kafi satisfied hain results se. Abhi humare bete ke pair bilkul thik hain. Sath folllow-ups bhi chal rhein hain.

Dr: Ye parents mere pass right clubfoot ki problem leke aaye the. Jab ye bache ko leke aaye the tab bache ki age 3 months thi. Ye parents dusre Dr. ke pass bhi gaye the but uske baad acha result naa milne ki vajha se mere pass aaye hain.

Parents: Humne kahi aur bhi apne bache ko dikhaya tha but hume vahan se acha result nahi mila. Fir hum in Dr. ke paas aaye aur shuru mein inhone 3-4 plasters kiya. Uske baad mein choti surgery ki. Surgery ke baad 2 plasters aur lgaye gaye and ab shoes pehanaye gaye hain. Ab mere bete ka pair kafi thik hai. Kafi acha experience bhi raha humara. Dr. ne jo humein exercises btayi hain vo hum apne bache ki daily karte hain. In Dr. ne hume vo sab btaya ki ye problem bache me kab aati hai. Dr. ki baatein sunte hi humne apne bete ko plaster lagvaya. Uske baad se humara regular Dr. ke sath contact hai.

Parents: Mene apne bache ka operation bhi kraya but us se bache ko koi benefit nahi hua. Mene ek baar aur operation kraya but vahan se bhi acha result nahi mila. Tab mai in Dr. se mila. Inhone mere bache ka ilaj kiya aur ab mera beta legs ki movement kar sakta hai. Pair ab sidha ho gaya hai and upar niche bhi ho raha hai. Ab mera beta sidha bhi chal paa raha hai. Pehle mera beta ulta pair rakh ke chalta tha. Hum in Dr. se bohot satisfied hain.


Treatment For Children Born With Clubfeet
Treatment For Children Born With Clubfeet

Hello!

Mera naam Dr. Nargesh Agarwal hai. Mein pediatric orthopedic and deformity correction surgeon hun. Aaj me apke samne bachon ki ek aisi bimari jo bachon me janam se upasthit hoti hai, suke baare me batane ja rha hun. Jiska naam hai clubfoot. Clubfoot ko hum usually CTE k naam se bhi jante hain. Majority of parents mere se puchte hain ki ye bilkul correctable hai ya nhi hai, iska kya illaj hai. To mera answer hai ki ye almost 100% correctable hai. Lekin isme illaj hume jitna jldi ho sake utna jdli shuru krna dena chaiye.

Iilaj me humko plaster lgane hote hian. Jisme 4-5 plaster lgte hain. Uske baad me foot correct ho jata hai. Almost 10 se 7 bachon me choti si minor surgery ki jrurat pdti hai. Jisme hum jo piche se nus hoti hai, use dhilla krte hain. Vo day care procedure hota hai. Jise hum tenotomy k naam se jante hain. Parents mere se puchte hain, is surgery ka bache ke foot pe koi effect to nhi ayega? Nhi, bache k foot pe koi effect nhi aata. Jo tendon hum release krte hain, vo almost dubara se regenerate ho jata hai without any side-effect.

Or bachon ko future me chalne se is se koi dikkat nhi hoti. Bacha bilkul normal life jita hai. Isme humko correction k baad me braces dene hote hain. Un braces ko hum bolte hain DB splint or denic browne splint or CTV braces. Ye braces shuru k 3 mahine take, 23 hours in a day pehnane hote hain. Uske baad me 4 saal ki umar tak unhe pehnane hote hain jab bacha sota hai tab, night hours me ya fir din me jab bhi bacha soyega. Usually jo clubfoot hota hai, isme bache ko correction bada acha mil jata hai, Kayi bache hmare pas kafi der se aate hain. Suppose kro 6 mahine par, 1 saal me, 2 saale me aate hain. Jitna deri se hum iska treatment krate hain, usme correction me utni hi dikkat hoti hai.

Number of plasters bhi badh jate hain. Usme volume of surgery bhi badh jati hai. To mera kewal yhi salaha hai ki iilaj jldi se jldi krayein. In fact, within a week, within a month of life treatment start kr dena chaiye. Treatment bada hi simple hai. Plaster lgte hain. 4-5 plaster lgte hain. Uske baad me jrurat pdne par ek choti si minor surgery hai jisme baad me bachon ko brace dete hain. So, success rate is almost 95-98% and the results are very good. Aap is trha ki problem k lia, aap mere clinic pe aa skte hain,  budhwar or shaniwar shaam ko 5-7 available rehta hun aur budhwar or shaniwar, 2-4 afternoon me available rehta hun.

Thank You.


Doctor in Child Ortho Care

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Child Ortho Care

doctor-profile

Dr. Nargesh Agrawal

Orthopedic Doctor12 Years Exp.
MS - Orthopaedics, Fellowship in Sports injuries, Shoulder & Knee arthroscopy, Fellowship in Paediatric Orthopaedics, Fellowship in Paediatric Orthopaedics
₹ 600 at clinic
200 online
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

2 reviews

Professional

1 reviews

Sensible

1 reviews

Prompt

1 reviews

Practical

1 reviews

Child Ortho Care Reviews

V

Verified

Jan 25, 2019

GOOD & HELPFUL

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Child Ortho Care
Your feedback matters!