Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 02, 2023
BookMark
Report

Urinary Tract Infection

Profile Image
Dr. Sudhir KhannaUrologist • 42 Years Exp.MNAMS - Urology, MCh - Urology, DNB - General Surgery, MS - General Surgery, MBBS
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Sudhir Khanna, Urologist. Aaj mai aap ko urinary tract infection (UTI) ke baare mein btaunga. Ye bahut common problem hai. Ise neglect nahi karna chahiyai. Ye bimari kisi bhi age group and gender mein ho sakti hai. Ab iske symptoms kya hote hain? Kayi baar pateint ko peshab mein jalan ho sakti hai. And jab patient Dr ke paas jata hai toh Dr use anti-biotic deta hai. Ye kabhi nahi karna chahiyai Humein routine examintaion kar ke problem ka pata lagana chahiyai. Isliya humein bina urine routine karaye anti-biotic nahi khani chahiyai. Agar kisi ko peshab mein jalan hai aur ek din se jyada hai toh Dr se consult karna chahiyai. Female patient mein jab problem aati hai toh patient gynae ke paas chali jaati hai. Agar urine se related problem hai toh gyane ke paas jaane ki koi jarurat nahi hai. Aap ko urologist se hi consult karna chahiyai.

Urine culture ki aar jarurat hogi toh ye aap ko baad mein btaya jayega but urine routien test important hai. Agar urine mein pus cells aayenge to hum use urine culture ke liya sample dete hain. Patient se pucha jata hai ki agar jalan hai toh kya peshab jaldi jaldi aa raha hai? Agar urine infection hota hai toh patient ko 10-15 minutes pe hi toilet jana hota hai. Patient ko ye problem din raat ho sakti hai. But agar ye problem sirf din mein hai raat mein nahi toh chances hain ki patient ko UTI nahi hai. Tisri problem hoti hai urge incontinence where patient will run for the toilet but he/she can piss in the pants only. Patient ko urgency ho sakti hai jahan pe patient ko saare kam chor ke toilet ke liya bhagna pad sakta hai. Iske sath hum patient ka fever hi check karte hain ki kahin use high grade fever hai ya nahi. Patient ko sardi lagtti hai. Toh ye saare symptoms UTI ke hain. Agar UTI ki problem jyada badh jaaye toh toilet mein blood bhi aa sakta hai.

Ek baar jab UTI confirm ho jaat hai toh hum patient ka HB TLC and DLC karna hota hai. Is se pata infection ki severity ka pata chalta hai. Aise patient ko hum oral tablets nahi de sakte hain, humein injection dena hota hai. Tisra test hai serum creatinine ka. Kyuki agar kisi ko urine infection hua hai aur kuch medicines hum patient ko dete hain toh vo kidney ko bhi damage kar sakti hain. Isliye hum patient ko modify kar ke injections dete hain. Patient normally treatment leke bhul jaate hain. But agar patient ko infection hua hai toh uska karan janna bhi bahut jaruri hai. Ultrasound se hum check karte hain ki kidney mein koi stone toh nahi hai. Check kiya jata hai ki bladder thik se khali ho raha hai ya nahi.

Tisra test hai uroflowmetry jismein hum patient ko bladder full kar ke clinic aane ke liya bolte hain jis se hum patient kaek machine ke through toilet flow check karte hain. Agar ultrasound mein sojish aati hai toh humein uska CT scan karna padta hai to know ki kya severity hai aur iska reason kya hai. Agar stone hai toh stone nikala jata hai. Agar peshab karne mein koi rukavat hai toh use thik kiya jata hai. Otherwise, infection baar baar hota rahega and problem jad se solve nahi hogi. Infection ke sath sath kidney bhi dheere dheere damage hone lagti hai. Agar patient medicines leke hi use thik karne ki koshish karta hai toh bimari dheere dheere badhne lagati hai. Isliya karan ka pata hona bahut jaruri hai. Ye responsibility ek Dr ki hai.

Agar jalan hone pe urine routine jab kiya jata hai aur usmein koi pus cell and infection nahi hai toh means patient ko UTI nahi hai. Toh humein dusra karan dekhna hota hai. Agar uroflow mein koi kharabi hai toh uski medicine deke use thik kiya jata hai. AGar patient ka sab normal hai test mein but fir bhi patient ko buring hai toh hum use interstitial cystitis kehte hain. AIse case mein hum durbin daal ke bladder ko andar se dekhte hain aur uski biopsy lete hain and agar koi problem hai toh iski alag medicines hain. Toh kisi bhi bimari ko jad se janna jaruri hai. Aur fir diagnose kar ke ilaj karna jaruri hai.

 

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for UTI treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details