Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jun 18, 2023
BookMark
Report

Things To Know About IVF Failure!

Profile Image
Dr. Ruchi MalhotraIVF Specialist • 32 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, DNB - Obstetrics & Gynecology, DGO
lybrate_youtube

Namashkar,

 Mai Dr Ruchi Malhotra aaj aap ko IVF failure ke bare mein kuch batana chahti hu. Ab IVF jaisa ki aap jante hai ek aisi cheez hai jisme hum log bachcha bana kar bachchedani mein implant karte hai. Ek anda hota hai aur ek sperm hota hai jisse ek beej taiyar karke vo bachcha bachchedani mein rakha jata hai. To kahi bhi koi bhi kaaran ho sakta hai jisse ye IVF successful na ho. Toh most important cheez rehti hai ki isme aap ke egg aur sperm ki quality; jaise egg ki quality agar achi hai aur sperm ki quality achi hai to IVF success hone ke chances bohot zada badh jate hai, ache centre mein 70-80% tak bhi success rate milta hai. Egg ki quality jaha kam ho jati hai aur sperm ki quality achi rehti hai us situation mein kayi bar kya hota hai ki ek mein jaise kam hai aur ek mein zada hai to bhi bachcha banke aage badh sakta hai. Jab sperm ki quality bhi bekar ho, egg ki bhi quality bekar ho to jo embryo ya jo beej banta hai vo itna healthy nahi hota hai to isme IVF failure ke chances bohot zada hote hai.

Second cause ho sakta hai ke uterus. Uterus ke andar bachchedani apki sahi nahi hai, bachchedani mein kahi parda hai ya uske lining mein problem ho rahi hai to us situation mein bhi bachcha aage implant nahi hota aur aage nahi badhta hai. To mainly aap ke jo egg, sperm aur uterus: ye main role play karte hai ki IVF failure kyu ho jate hai. Sath mein kayi hormonal problems hoti hai jaise thyroid ki problem hai jo properly control nahi ki gayi ho ya fir prolactin zada ho us situation mein bhi bacha aage grow nahi karta hai jis vajah se ye IVF failure ho sakte hai. Ya koi aur additional medical problem ho jaise mareez ko diabetes ho; us situation mein bhi baby kayi baar implant nahi karta. To ye reasons ho sakte hai IVF failure ke. Kayi aur reason bhi hote hai, remote reasons hote hain jaise lab conditions achi nahi ho ya doctor experience nahi ho vo bhi situations kayi bar ek failure mein lead kar sakti hai. Ye to maine aap ko kayi kaaran bataye jisme IVF failure hua hai aur kyu ho sakta hai but kayi bar ye hota hai ki koi bhi kaaran predict nahi kara ja sakta ki IVF failure sab cheez bilkul optimum ho, bilkul theek acha chala ho but fir bhi IVF mein 100% success milna mushkil rehta hai.

To ache centres mein 70-80% tak aap ko success rate mila ja sakta hai. Ab hamne bataya IVF failure kyu hota hai. Ab hum iske bare mein bhi discussion karte hai ki isko hum kis tarah se kam kar sakte hai. Jaise ab egg mein problem hai to egg ka kya kia ja sakta hai kayi bar third party assistance li ja sakti hai jisko hum donor egg lete hai. Donor egg leke sperm ke sath baby ready karke vo implant kiya ja sakta hai. Similarly, options available rehte hai donor sperm lene ke ya fir donor embryo lene ke. Ye sari cheeze tabhi ki jaa sakti hai jab couple iss cheez ko karvane ke liye agreeable ho. Agar couple iss cheez mein agreeable nahi hai to ye iss tarah se process nahi kiya ja sakta. Dusra hai agar hormone ki problem hai to hormone ko correct karne ke liye dawayi, injection us tarah se dii ja sakti hai ki jisme IVF aap ka next time successful ho. Third thing jo lining hai uterus ki lining banane ke liye hum aur bhi attempt ache dusri dawaiyon se karte hai jisse ki ye lining ban jaye aur IVF successful ho. Toh most mostly ye IVF is a very good process jiske andar agar pregnancy nahi ho rahi to chances aap ke pregnant hone ke bohot ache ho jate hai ache centre mein, ache doctor ke hath mein.

Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!