Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Role Of Stress In Infertility

Profile Image
Dr. Rekha AnandGynaecologist • 29 Years Exp.MBBS, DGO
lybrate_youtube

Hi everyone,

Main Dr. Rekha Anand, Gynecologist, Kharghar, Navi Mumbai me practice krti hun. Aaj me apko role of stress in infertility ke bare me btaungi. Urban population me stress ka bhut bda role hai infertility cases me. Major reason hai late marriages. Quki logon ke lia financial condition and career jyada important hai. Nuclear family me family support zero hota hai. Log jyada tire ho jate hai jinse unke physical relations nhi ban pate hain. And unki intercourse frequency kam ho jati hai.

Or jab unhe lgta hai ki unhe pregnancy chaiye to immediate results ki expectations rkhte hain. Pregnancy ke lia apne aap ko waqt den. Agar sab thik hai to 1 saal ka waqt khud ko den. Uske baad hi kisi treatment ki traf dekhen. Jab hum treatment shur krte hain to medicines ke sath sath psychological aspects aa jate hain. Jaise investigation ke lia couple ko bar bar ana pdta hai. Iske lia unhe job se choti leni pdti hai. Quki ye time bound hote hai. Kuch investigations kafi expensive bhi hote hain.

Painful bhi hote hain. Body pe side-effects bhi aate hain. Treatment 100% successful bhi nhi hote hain. IVF bhi 100% successful nhi hai. Jab pregnancy achieve ho jati hai to bhi patient ko darr rehta hai ki miscarriage na ho jaye. Isi reason se vo ye khushi share krne me darte hain. In sab se couple ke bich me happiness thodi khatm ho jati hai. Is se results pe bhi effect pdta hai. Log social gathering ko avoid krne lgte hain. Fertility ka treatment samay le skta hai. Aap apne aap ko and doctor ko samay den. Doctor and apne pe trust kren. Hume ye bhi pta hone chaiye ki treatment ka ed point kab hai. Is bare me or janne ke lia aap Lybrate ke through mujhse information le skte hain.

Thanks!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sex Education treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details