Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jul 01, 2023
BookMark
Report

Problem of Constipation

Profile Image
Dt. G L MoondraYoga & Naturopathy Specialist • 31 Years Exp.MD
lybrate_youtube

Mera naam Dr G L Moondra hai. Main Prakratik chikitsa ka consultant hun. Aaj me apse Kabz ke vishay me kuch baat karna chahta hun.

Humari yeh paachan pranali hai, mukh se lekar recrum tak iski kul lambaai 7 meter se adhik hoti hai. Iski antim bhaag ki lagbhag ek meteer lambaai me humara bhojan ka bacha hua bhaag, mal ke roop me parivartit hota hai. Aur iske antim chorr se bahar nikal jata hai. Kisi bhi karan se jab ye mal bahar nahi nikal pata hai, ye aant me ikhatta hone lagta hai, to ise kabz kehte hai.

Yeh kabx ki beemari sari duniya me feli hui hai. Sare sansaar me iska bohot he vistaar hai. Sur isko mitaane ke lie hazaaro prakaar ki dawaiya duniya me bikti hai parantu kabz ka theek hone ka koi naam he nahi hai.

Chikitsak log kehte hai ki kabz koi badi beemari nahi hai, balki beemari hai he nahi. Aur sahi baat bhi hai. Vaastav me kabz koi beemari nahi hai parantu humare shareer me jitni beemariya hoti hai, jese sardi zukham se lekar cancer tak, in sab he dawaiyo me kabz se kahi na kahi, kuch na kuch vaad zarur hota hai. Aur yahi kaaran hai ki kabz se saari duniya chintit rehti hai.

Kabz zindagi ki sab khushiya cheen leta hai. Aur islie ise mitaane ke liye log bohot prakaar ke padaartho ka upyg karte hai. Parantu ye padaarth kabx ko mitaate nahi, balki aanto ko system ko aur bhi kamzorr kardete hai. Aus is prakaar zada se zada quantity me aur zada shaktishaali padaartho par manushya nirbhar hota chala jata hai.

Vaastav mein dekha jaae to kabz ka mukhya kaaran hai khaan paan ki gadbad. Humare khane mein reshe ki, fibre ki bohot kami hojati hai. Khane me fibre ki kami ka karan hai humare khane me cheeni, maida, dhuli hui daal ityaadi. Reshe ki poorti hoti hai sabziya khane se aur fruits khane se. Lekin bohot log ya to fruits aur sabziya khate he nahi, aur khate bhi hai to unko cheel kar itna saaf kardete hai ki reshe wala bhaag totally nasht hojata hai.

Is prakaar ke bhojan se he kabz hota hai. Agar kabz mitana hai to iska keval or keval upaaye prakratik chikitsa hai.

Prakratik chikitsa ke dwara kabz se peedit logo ko ye bataya jata hai ki unke bhojan me kya sudhar hona chaie, unhe ye bhi bataya jata hai ki unko kya vyayaam karna chaie jisse ki kabz na ho, aur sath he yeh bhi bataya jata hai ki kis prakaar kabz hojane par uski haaniyo se bachne ke liye kya upaaye kar sakte hai.

Yeh sab mila kar prakratik chikitsa ek aisi vidha ban jati hai jise naa keval kabz mit jata hai balki shareer ke aur doosre rog bhi khatam hojate hai. Sath me dawaiyo par bhi apki nirbharta kam hojati hai.

Yadi is vishay me aap aur kuch janna chahte hai ya fir apni beemari ko mitaane ke liye consult karna chahte hai, to aap Lybrate ke through mujhse baat kar sakte hai ya appointment lekar aap mujhse mil bhi sakte hai.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Constipation treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details