Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Myths about Ayurveda

Profile Image
Dr. Richa Sharma KhareAyurvedic Doctor • 31 Years Exp.Panchkarma, Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Myths, fact and treatment by Ayurveda

Hello, Namaste. Mai Dr. Richa Sharma. Faridabad mein mere Ayurveda centre me Ayurveda chikitsa karti hun. Mera Panchakarma Centre hai. 24 saalo se Panchakarma hum kar rahe hai. Mera ye anubhav raha hai ki sabhi patients hai ya jansamanya mein ayurveda ko lekar bohot si bhrantiyaan hai. Jaise ki Ayurveda mein bohot se dawaiya ya tablets diye jaate hai. Koi sure shot solution nahi hai ayurveda mein ya phir heavy metals hote hai, toxins hote hai. Lekin aisa nahi hai. Mai iss madhyam k zariye sabhi ko batana chahti hun ki ayurveda ek 5000 saal purana, shayad usse bhi purana science hai aur bohot hi trusted aur tested science hai. Har level pe jancha aur parkha gaya hai. Isiliye aaj bhi jo 5000 saal pehle iske bhi jo mul sidhant the, jis tarah se khade the usi tarah se aaj k samay me bhi ajise humara khaan paan, rehen sehen sab badal gaya hai.

Aaj k samay mein bhi wo utne hi khade hai. To Ayureda k baare me hum kahe to uska jo naam hai Ayurveda, Ayu aur Veda. 2 shabde mila kar banaya gaya hai Ayurveda shabd. Ayu matlab life aur Veda ka matlab science. To jisme jeewan ka science hai, humare liye sahi kya hai, humare swasthya k liye sahi kya hai galat kya hai iska warnan diya gaya hai. Iske baad mein phir chikitsa k baare me bataya gaya hai aur yaha tak ki mansik rog na ho isliye ek sadwrut naam ka heading diya hai ek chapter hai jisme humara social behaviour kaisa hona chahiye, logon k saath humara behaviour kaisa hona chahiye iske baare mein jankari diya gaya hai. To kul milakar Ayurveda mein ek holistic approach tha k aap sharirik aur mansik roop se kaise swasthya reh sakte hai.


Ayurveda mein jo Panchakarma k baare me kuch aapko kehna chahungi. Panchakarma Ayurveda ka ek bhinna ang hai. Panchkarma yaani paanch kaam jaise naam se suggest hota hai. 5 karma jo ki sharir shuddhi ki kriyayen hai. Iska kaam sharir ki suddhi karna bhi hai aur saath me therapeutic use bhi hai, chikitsak use bhi hai iska. Swasthya wyakti bhi Panchkarma kara sakte hai jaise ki agar aap sharir suddhi karate hai, detoxification karte hai. Humare roz marra k jewan mein metabolism k karan jo toxics jama hote hai use bahar nikalne me madad karta hai.

Detoxification karne se immunity badhti hai, immunity badhne se rog hone ki sambhawnaye kam hoti hai, metabolic disorders kam hote hai. Saath hi agar jo rog hote bhi hai to uski tiwrata kam hoti hai, mild form me rog hote hai. Yehi Panchkarma agar rogi ko diya jai to rog ka jo mul karan Ayurveda me kaha gaya hai tridosha. Tridosha ka jab balance bigadta hai watwitkaf ka tabhi rog hote hai. To in Tridosho ko zyada badhe huye dosho ko sharir se bahar nikala jaata hai Panchakarma k dwara. Iske baad me jo dawaiya di jaati hai wo kam matra me di jaati hai aur zyada asar karti hai kyuki sharir shudh ho chuka hota hai aapka. Saath hi rog k dubara se wapas aane ki sambhawna kam ho jaati hai, jo ki reaction hota hai kisi bhi disease ka wo kam ho jaati hai. To iss tarah se Panchkarma humare jewan k liye bohot hi upyogi aur swasthya rakhne k liye zaruri chiz hai.

Panchkarma 5 prakar ki hoti hai, pehla vamana hai, vamana ka matlab hai hum induce karte hai vomiting jisme ki alag alag kaadhe diye jaate hai, pilaye jaate hai aur jo naabhi k upar ka part hai cough k liye hum vamana treatment ko prefer karte hai. Thyroid hai, motapa hai, cholestrol badha hua hai, dimag k rog hai uske liye vamana bohot upyogi saabit hota hai. Dusra Virechana hai, Virechana matlab induced purgation jisme ki medicines k dwara dast hum patients ko lagwate hai aur sharir ki gandagi bahar nikalte hai gudam marg k dwara. In nabhi k niche k rog, pittak k rog, twacha k rog, rakth k rog, isme bohot upyogi hota hai. Motape me bhi Virechana chikitsa bohot accha kaam karti hai. Teesra hai Basti Chikitsa. Basti Chikita ko Ayurveda k medicine vibhag me aadhi chikitsa kahi gayi hai.

Ye gudam marg k dwara jaise anemia hote hai waise hi kaadhe hai, shehad hai, medicines k powder hai, sab mila k medicated oils diya jaata hai. Fir Rakta Moksha hai jo ki Blood Letting hai aur iske ilawa nassein hai jo naak k dwara medicines ko daala jaata hai. To ye Panchakarma treatment k dwara hum apne sharir ko swasthya rakh sakte hai aur saath me rogon se mukti bhi pa sakte hai. Iske baare me aap ko agar jankari chahiye to aap Librate k through mujhe contact kar sakte hai ya mere clinic me aa sakte hai.

Aap sabhi ko swasthya ki subhkamnaye. Dhanyawad.
 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details