Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 07, 2020
BookMark
Report

Learn About The History Of IVF!

Profile Image
Jain Hospital0Multi Speciality
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Sangeeta Jain, I am an IVF specialist, and today I will be speaking about the IVF, how it started, how it has changed the treatment in the field of infertility. IVF ki shuruwat 1971 mein hui jab pahla test tube baby world ka born hua. Vo ek miracle tha aur common man ke liye, jaise aaj hum sochte hai chand pe jayenge toh hum kaha ja sakte hai, lekin tabse duniya bahut badal gayi hai. Test tube baby aaj ek real treatment ki tarah ubhar ke aaya hai jo har ek ke liye uchit bhi hai aur uska dayra bhi badh gaya hai. IVF ka full form hai In Vitro Fertilisation. Iske mayne hai ki humne fertilisation ki prakriya jo ki kudrati lady ke fallopian tube mein hoti hai, usko humne body ke bahar kiya. Toh isme injections dete hai lady ko jis se ki uske andashay mein kaafi eggs ban jaye aur chhoti si behoshi deke ultrasound se hi hum vo eggs bahar nikal lete hai, husband apna semen dete hai, aur lab mein poora embryo ban jata hai, uske baad hum usko uterus mein dalte hai. 15 din baad hume pata chal jata hai ki pregnancy hui ya nahi, toh test tube baby kaafi aage mukam pe pahunch chuka hai. Uski success reate kaafi achchi ho chuki hai. Autstins bhi kafi acchi aa chuki hai jab se uski shuruwat hui. Toh ye ek bahut genuine treatment hai unn couples ke liye jinke bachche nahi ho rahe hai. Unke eggs ki problem ho, ya semens ki problem ho, ya tubes ki problem ho, har ek kshtra mein IVF unko madad kar sakta hai. Hum log bahut sunte hai sarrogacy ke baare mein. Sarrogacy bhi ek tarah se extended treatment hai IVF ka. Jisme ki agar lady ke garbhashay bhi kharab ho, utrus mein bhi problem ho toh bhi vo apna bachcha kar sakte hai sampati sarrogacy ke dwara. Vo bhi IVF ki extended technique hai. Isme mostly bahut kam side effects hai, toh ek safe taknik hai jisko ki hum samajh le toh koi problem nahi hoti. Humare country mein multiple pregnancy bahut dikkat nahi hoti patient ko aur vo ek side effect kahlata hai. Dusra success rate jo hai vo kareeb 60-70% tak pahunch chuki hai, 60-70% success mein hume itna spend karna dikkat nahi hai. Government ne bhi isko adopt kar liya hai aur bahut se sarkari aspatalo mein bhi IVF hone laga hai. Toh mera message ye hai apke liye ki hume naam se uske nahi ghabrana hai, ye ek bahut suuccessful technique hai, proper guidance ke saath mein agar hum sahi case choose karein toh hume safalta milti hai aur hume iske liye aage badhna chaiye. Agar kisko problem hoti hai toh uske liye aap consultation ke liye mil sakte hai mujhe. Aap Lybrate ke through bhi booking kara sakte hai. Aur hum log koshish karenge ki apka proper workup ho jisse ki proper results hum aapko de sake. Agar apko ye problem hai toh aap Lybrate ke medium se bhi hume contact kar sakte hai, direct appointment le sakte hai. Aapki kuchh jaanche hongi agar uchit hota hai toh fir hum IVF ke liye proceed karenge.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!