Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Laparoscopic Surgery For Orthopedic Problems

Profile Image
Dr. Ashu ConsulOrthopedic Doctor • 25 Years Exp.MBBS, MS - Orthopaedics, M.Ch - Orthopaedics, MRCS-Ortho
lybrate_youtube

Hello,

My name is Dr. Ashu Consul hai. Mai ek orthopaedic surgeon hoon. Mai kareeb practice me 2002 se hoon aur mujhe kareeb 17 saal ho gaye hai haddi or orthopaedics ke ilaaj karte hue mareejo ke. Aur maine aapni padhayi jo kari hai uske bare me thoda bata deta hu short mein aap logo ki maine Maulana Azad Medical college se apni MBBS ki hai aur Safdurjung hospital se apni MS ortho ki training puri kari hai. Uske baad mai kafi desh videsh mein fellowships kari hai jiske baad mai abhi practice mein hoon. Aaj hum log baat karenge doorbeen se hone vale operations ke bare mein jo kandhe or generally ghutne ke hote hai jisme hum log ligament injuries gathiya me aur bhi bohot sari cheezon mein hote hai.

Jaise agar hum bsat karte hai ghutno se related to ghutno mein jitne bhi ligament ki injuries hoti hai brochure ya meniscus ki injuries hoti hai ya koi or cartilage ke issues hote hai aaj kal unko hum doorbeen se ya arthroscopy se theek kar sakte hai jisme bohot he chote taanke lagte hai or kai bar to nahi bhi lagte hai or patient agle din chal sakta hai, bohot zada bed rest nahi hota hai, kayi bar day care me he surgery ho jati hai ya zada se zada ek din ke liye stay karna padta hai patient ko. Aise he same kandhe ke operation hote hai doorbeen se jisme bohot sare logon ka maspeshiya fati huyi hoti hai, bohot sare logon ko bar bar kandha utarne ki dikkat hai, kandha jaam ho gaya hai, kandhe mein dard rehta hai ya kandhe ke andar kisi prakar ki koi aur duvidha hai ya koi aur pareshani hai jisko hum MRI mein dekhte hai generally to unn sabka bhi doorbeen se ilaaj kiya ja sakta hai aur iske liye bhi 2 ya 3 taanke hi lagte hai maximum aur patient ko ek din ke andar ya same day chutti kar diya jata hai. Ye sab cheezon se aaj kal log purane time me pehle bohot bade incisions lagte the, usse kam ab keyhole surgery ya doorbeen se hi kaam easily ho jata hai.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Meniscus Injury treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details