Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Diabetes

Profile Image
Dr. K K GoyalDiabetologist • 12 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, ost Graduate Diploma In Diabetology (PGDD)(American Diabetes Association), Fellowship In Diabetology
lybrate_youtube

Hello friends,

I am Dr KK goyal. I have a diabetes clinic. Hum aaj aapko diabetes ke lakshano ke baare mein jankari dena chahte Hain. Agar kisi ka random blood sugar jo hai 140 se jyada hai to usko diabetes ho sakti hai. Isko confirm karne ke liye HbA1c ka jo jaanch hai vo anivarya hoti hai. Aiye hum diabetes ke lakshano ke baare mein aapko kuch jankari dete Hai.

Pehla lakshan yeh hai ki bar bar peshab ka ana. Agar kisi mareej ko bar bar bathroom aa raha hai, bar bar peshab ara hai, to usko diabetes ke lakshan ho sakte hain. Isme hamari body ki jo kidney hai woh excess jo glucose hai usko urine ke through bahar nikalne ki koshish krti hai. To isi vajah se isme bar bar peshab ata hai.

Dusra lakshan ye hai ki bar bar UTI hoskta hai. UTI matlab Urinary Tract infection. Agar bar bar bathroom main aapko infection ho raha hai to uska bhi jo hai diabetes ka lakshan ho sakta hai. Teesra iska ye hai ki iske andar wajan jo hai vo teji se ekdum se loss hone lagjata hai. Agar dosto apka wajan teji se gir raha hai, achanak gir raha hai, to ye b diabetes ke lakshan ho sakte hain. Iske liye turant aap nazdiki kisi lab me jaake aap 100-150 rupee deke aap diabetes ka check-up kara sakte hain.

Chotha lakshan iska yeh hai ki apko jo hai pairo ke talve me Jalan mehsoos hogi. Agar pairo ke talve mein agar aapko Jalan hoti hai, numbness hoti hai aisa lagta hai ki Koi keel vagrah jo hai uska pata ni chal raha apko chubhne ka, to ye bhi diabetes ka lakshan ho sakta hai. Panchva lakshan yeh hai ki isme vision jo hai apka vo ekdum se blur ho jaega apka. To ekdum se apko dhundla dikhae dene lag jae, to usme bhi diabetes ka lakshan ap keh skte hai ki apko diabetes isme hoskti hai. To iske liye aap nazdeeki lab jaiye or vaha jake aap apna ek fasting or ek khana khane ke baad ka jo random blood sugar hota hai, usko check karaiye.

Dhanyawad.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Diabetes treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details