Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Anal Fissure

Profile Image
Dr. S K Singh, Sushruta Ano Rectal Institute Piles And Fistula TreatmentGeneral Surgeon • 37 Years Exp.M.S. (Ayurveda), Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

I am Dr SK Singh, I am surgical specialist ayurveda added by MS in ayurveda from IMS, BHU. Doston aaj hum baat karte hain fissure rog ke bare mein. Hum Sushruta Ano Rectal Institute jo ki Guda rogo ke ilaj ke liye aaj-kal jana jata hai. Toh inn guda rogo mein piles , fistula aur fissure pradhan roop se dekhe jate hain, toh jayadater logon mein piles or fissure ye ek aisi confusing state rehti hai ki humko piles hai ke fissure hai. Toh hum baat kerte hain ki fissure rog hota kya hai, fissure mein aisa dekha gaya hai ki jo pradhan lakshan hai wo mal tyag ke samay dard kahona, vedna ka hona, ye fissure ka pramukh lakshan hai. Fissyre rog mein kai baar vedna ke sath-sath halki-pulki bleeding ho sakti hai, nahi bhi ho sakti hai but pain very extrusion, bahut jayada teevra vedna ka hona, acute pain ka hona mal tyag ke samay, ye iska mukya lakshan hai. Ab hum baat kerte hain ki fissure hota kya hai, dekhiye fissure rog mein mal, jo hamara anal canal hai, anal canal ke ander ki jo lining hai, woh line in membrane kai baar kat jati hai ya toot jati hai. Wo katna ya tootna iss baat pe nirbhar kerta hai, do, teen cheesze jin per nirbhar kerta hai. No. 1 stool ka tight hona, mal ki ya stool ki consistency jab tight hoti hai toh wo mal tyag ki friction injury se jo hamari lucus membrane hai anal canal ki wo toot jati hai, iss taranh se wahan pe ek jakham bann jata hai ya kai baar aisa bhi dekha gaya hai ki rogion mein baar-baar motion hone ki wajah se chahe wo loose motion ho ya kolaitis ki wajah se baar-baar motion ho raha ho, kisi infection ki wajah se ho raha ho, to bhi repeated motion ki wajah se bhi ye injury ho sakti hai. Toh ek baar ye cut injury ho jane pe, dekiye shareer mein injury kahin bhi hoti hai toh body ki apni healing capacity hoti hai, kai mareejo mein kya hota hai ki ye cut gaya aur do-char din mein wo dheere-dheere heal up ho jata hai. Lekin heal up puray tareekay se nahi ho pata, wo jo healed area hota hai wo weak hota hai, toh dobara agar fir stool tight hua toh dobara fir ho jata hai. Toh iss taranh ek hi point pe baar-baar injury hone seye jo jakham hai dheere-dheere gap aane lag jata hai aur fir ye symptoms pain ke, itching ke ya jalan wagerah ke, ye bahut frequently hone lagte hai patient ko do-do, char-char din, kai baar agar jayada cut gaya toh ek hafte se dus-dus din tak ye pain aur jalan patient ko hoti rehti hai. Iss pain aur jalan ki Awadhi ya duration of symptons hai, wo ispe depend kerta hai ki kitna gap hai. Abhi ek baar agar recent bann gaya hai toa aap medicine lete hain, pait saf kerne ki dawawaiyan lete hain, kuch local application ke liye dawai lete hain, usme aapko rehat milti hai pain wagerah mein. Lekin iska jo proper treatment hai wo kshar karma ke dwara hota hai jisme ki kuch medicines di jati hain aur weakly sittings hoti hain medicines ko apply kerne ki, dheere- dheere wo jakham badta chala jata hai. Aur acute fissure mein usually log anal dilatation kerte hain, surgery kerte hain, that is not required uski zarurat nahi hoti hai aur Ayurvedic kshar karma ke dwara ya Ayurvedic aushadhio ke lape se, ye fissure acute stage pe puri tarah se theek ho sakta hai. Now next thing is agar kai baar fissure ke aagey chronic fissure repeatedly hota rehta hai, jayada samay ta rehta hai, use thoda sa massa niche latak jata hai, thodi si skin bahar aa jati hai jise hum kehte hain senital tag. Whts the senital tag is formed, ye agar ek baar bann gaya to fir hum isko sirf dawawaiyon ke lape se ya kshar karma puri taranh se theek nahi ke payenge. Kshar karma ke sath-sath iss tag ko kshsarsutra ligation ke dwara isko hatana bhi bahut zaruri hota hai aur ek baar ye hatt jata hai toh puri teranh se ye fissure theek ho sakta hai. Isliye whether it is a condition of acute fissure, chahe ye acute fissure ho ya chronic fissure, chronic fissure mein senital tag bhi ho, toh bhi ayurved mein prabhavi roop se ksher karma aur kshsarsutra ke dwara begair operation ke iska ilaj pyri teranh se sampurna hai. So no to syrgery in the cases of acute fissur or chronic fissure.

Thank you very much.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Anal Fissure treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details