Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 25, 2023
BookMark
Report

How To Prepare For IVF?

Profile Image
Dr. K S AnamikaGynaecologist • 20 Years Exp.Advanced Infertility, MIS TRAINING, FICMCH, PGDS, MD - Obstetrtics & Gynaecology, MBBS, Masters in Reproductive Medicine(UK)
lybrate_youtube

Namashkar,

Main Dr. Anamika, ek infertility rog visheshagya Hoon. Main aaj aap se baat karungi IVF ki taiyari ke baare mein. Kisi bhi patient ne jab IVF karne ka nirnaya liya hai, to use kuch preparations karne chahiye aur ye preparation hum 3 hisso mein baat sakte hai. Pehle ki uska general health, dusra uska psychological health and teesra financial and social issues. As far as general health concerned hai, to hamara aim IVF me hai ek swasth maa or ek swasth bachcha.

To sbse phle hum swasth maa ki baat karenge. To maa jisko ki ek garbh dharand ke liye taiyar hona hai or uske baad puri pregnancy ko bina kisi jatilta ke sampan krna hai. To uske general health ka khayal rakhna bahut zaruri hai. Choti choti batein jaise ki uska wajan. BMI agar low hai matlab body mass index agar lower side pe hai to bhi bar bar implantation failure ya abortion ke chances rahenge. Ya fir obesity ke side par hai, to bhi patient ko complication ho sakte hai or unke ando ki quality bhi achi nahi hoskti hai. To uspar hume dhyan dena hai, unka BP, unka cardiac status, vitamin deficiencies yeh sari cheeze hai hum pehle he treat karenge. Doosra unka jo hissa hai health me vo hai ki ek swasth vrond ka milna i.e the healthy baby at the end. Ok. To that starts with the healthy embryo and embryo is nothing but a sperm and egg. To hume ek dono beej achche Milne chahiye. Mata ki taraf se bhi, pita ki taraf se bhi. To hume sperm or ando dono pe dhang se kaam karenge plus hume embryo jaha transfer karna hai vo jagah jo ki mata ka endometrium hai. Uski bhi condition ko phle se dekh ke rakhenge.

Transvaginal scan ke through hume dekh lena hai ki endometrium ki thickness achi hai, uska blood flow achha hai plus ando ki quality ko maintain karne ke liye agar hume phle se kuch drugs deke rakhna hai, sadharan tor pe jaise aap metformin dete hai taki patient ko OHSS na hojae or ek quality bhi achchi mile. Husband ko hum antioxidants dete Hain ya phir koi culture sensitivity mein infection aye to use treat karlete hai. Ye hogyi general health ki batein. Now we come to psychological health. Jab hum mental health ki baat karenge to sabse pehla sawal kisi bhi mareej ke mann mein Jo hota hai vo hai ki kya IVF ek dard bhara procedure hai.

Is it going to be painful? Kyuki Logo ko mann mein dharna bani Hui hai ki mujhe roj injection lene hai, multiple injection lene hai to aaj hum usko defy karenge ki IVF ke jo charan hai pehla charan hai ande banane ke liye injection lagana aur aaj Kal developments ke sath vo jo injection hai wo kafi less painful ho gaye hai jo ki patient apne aap bhi laga sakta hai subcutaneously. Jaise ki diabetes ke mareez apna insulin lagate Hain. To first part to hamara almost painless Ho Gaya. It's simple subcutaneous injection nothing else.

Second part jo hai vo hai ande jo andar taiyar hue hai unko bahar nikalna. That is called ovum pick up. This is a 10 to 15 minute procedure jo ki completely anaesthesia ke under hota hai, isliye isme bhi mareej ko dard ka koi ehsas ni hota. Uske bad jo step ata hai vo hai embryo transfer ka. Embryo transfer itna dard rahit procedure hai, its similar to IOI. We do it without any anaesthesia, kisi painkiller, kisi anaesthesia ki zaroorat mareez ko nahi padti hai. Or ek bar unka humne embryo transfer kar diya, to uske baad jo medicines chalti hai vo kabhi kabhi injectables hoti hai lekin unn me bhi kafi unnati agyi hai or vo bhi hum subcutaneously aaj kal laga pate hain. To ab humne unke psychological health ka khayal rakh liya, unko ye bata dia ki ye ek dard bhara procedure nahi hai. So now we will talk about the financial issues. Financial issues ki jahan hum baat karte hain to mareez hamesha ye sochta hai ki is lab me mujhe kuch aur kharch bata rahe hai, mere kisi friend ko kisi ne kisi kuch or kharch bataya tha. To aisa kyun hai? To jaha tak IVF ka kharcha hai usko hum 2 part me divide kar sakte hain.

The first part is jo ki fixed kharcha hai sab ke liye that belongs to the lab. Jo bhi aap culture dishes, culture media, Jo bhi gases use ho rahi hai lab mein, jo bhi hamare anaesthetist ke charges hai, hamare embryologist ke charges hai ye sare sare mareezo ke liye ek se sa rehte hai. Or dusra part hai jo vary karta hai, according to the patient. Patient ka aim hai ki unka weight, unka BMI, unki age, in cheezon ke karan jo unko injections ka matra alag alag lagega ya injections ke types alag alag lagane padenge uske karand ye part vary karta hai.

Magar aj ke date me 1-1.25 lakh ke beech me IVF usually ho jata hai aur ek aur cheez ka khayal aapko pehle se rakh lena hai ki IVF ke procedure mein aapko jab bhi bulaya jaye clinic par ya fir lab me, usi din apko vaha prastut hona hai. To make sure ki apke professional commitments ke kaaran aisa na ho ke aap ko chutti ni mil sakti, apne inn cheezo ki taiyari pehle nahi ki hai or aap delayed ho jae, to usse apke result bahut prabhavit hojaenge. To friends apko mentally, physically and financially plus socially prepared Ho karke he IVF ki or kadam badhana hai taki jo procedure aaj ki date mein 50-55 kabhi kabhi 60% Tak safalta deta hai, usme aap ki taraf se koi kami na rahe, aap apna 100% de taki apko achi si achi safalta mile.

Thank you.