Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 22, 2023
BookMark
Report

How Are Diseases Affecting Your Body?

Profile Image
Dr. Ravinder KaushikAyurvedic Doctor • 13 Years Exp.Pulse Diagnosis Expert - Fundamentals of Ayurvedic Medicine, Diploma in Naturopathy & Yogic Science (DNYS), Bachelor of Naturopathy & Yogic Sciences (BNYS)
lybrate_youtube

Namaskar. Main Vedya Ravinder Kaushik hu. Main pulse diagnostic expert and herbalogist hu. Main aaj is video me apko bataunga ki humare shareer me beemariya kese janam leti hai.

Jab ek baccha paida hota hai to uska nature of body uske mother aur father se decide hota hai. Jese bacche ki father aur mother ki physiology hai, dono ka combination bacche me aata hai jise hum Ayurveda me Prakruti kehte hai. Prakruti is nature. Prakruti teen dosh ke hisaab se hota hai - vaat, pit aur cough.

Kabhi apne dekha hoga ki ek he couple ke 2 bacche hote hai. Unme se ek baccha bohot he intelligent hota hai aur doosra baccha utna intelligent nahi hota hai. Iska reason ye hota hai ki dono baccho ki Prakruti alag hoti hai, nature of body alag hota hai. Hum dono baccho ko same khana khilate hai lekin ek bache ko absorption horaha hai aur doosre bacche ko absorb he nahi ho raha hai aur bacche ka dimag padahi me concentrate nahi kar pata hai aur na he body grwoth theek se ho pati hai. In sab cheezo ki wajah se bacche ko life me, carrier me bohot problem jhelni padti hai.

Jab bacche ko humne prakruti ke hisaab se nahi chalaya to uski body me ek imbalance create hojata hai. Aur jab baccha long trem me, middle age me ata hai to use bohot sari Chronic diseases gherr leti hai.

Hume sabse pehle apni Prakruti ko janna chaie. Isse hume apna nature of body pata chalta hai. Us nature of body ke according he hume apna lifestyle jeena chaie.

For example;

  • Agar apki Vaat type ki body hai, to apko wo saari cheeze nahi khani chaie jo body ko imbalance karti hai.
  • Agar apki Pitt type ki body hai to apko khatta, masala, fried food avoid karni chaie. Pitt means Agni (fire), to apko hot cheeze nahi khani chaie.
  • Agar cough type ki body hai to apko zada sweat, zada heavy fatty food avoid karni chaie.

Jis type ki humari Prakruti hoti hai, uska opposite food hume zada pasand ata hai. Isse pet ki probelms ajati hai. Aur Ayurved me kaha gaya hai ki maximum beemari pet se he janam leti hai. Agar humar pet me system disturb hua to hume koi bhi beemari aa sakti hai.

To aapk kisi be visheshagya ke paas ja kar apni Prakruti check karwa sakte hai. Aap hume bhi contact kar sakte hai apni prakruti check karwane ke liye humari Lybrate profile ke through ya fir aap humare clinic me bhi directly visit kar sakte hai. Apni prakruti janna sabke liye bohot zaruri hai aur beemari se azaadi paiye.

Namaste.