Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 12, 2023
BookMark
Report

High Blood Pressure - Hypertension

Profile Image
Dr. Sanjeev K KohliHomeopathy Doctor • 37 Years Exp.BHMS, MD - Homeopathy
lybrate_youtube

Hi all,

I am Dr. Sanjeev Kohli MD in homeopathy. Mein pichhle 31 saal se Motinagar mein practice kar raha hun. Aaj hum baat karenge high blood pressure ke barey mein. Lekin use pehle yeh janna zaroori hain ki blood pressure actually kya hota hain? Blood pressure vo pressure hota hai jisse humara heart jo hai blood ko pump kerta hai purey shareer ko bhejta hain taki pura sharir hamare jo organs hain hamare jo ang hai vo apna karya kar sakey. Toh hamara heart toh 24 ghantey dharakta hain aur 24 ghante pump kerta hain blood ko. Toh jo normal jo blood pressure hota hain us mein do hoti hain valves. Ek hota hain systolic blood pressure jo ki aam tor pe upar ka blood pressure kahate hain dusra hota hain diastolic blood pressure jise hum niche wale blood pressure ke naam se jante hain. Systolic blood pressure vo pressure hota hai us samay ka pressure hota hain jab ki hamara heart jo hain pressure lagake blood ko pump karta hain purey sharer ke jitney ango ki taraf. Aur diastolic blood pressure vo hota hai jab ki humara heart jo hain pump karne ke baad jab relax kerta hain rest karta hain toh wo diastolic blood pressure keh lata hain.                        

Toh jo normal values hain systolic blood pressure hain jo 110 se lekar 140 tak normal gina jata hain. Aur jo diastolic blood pressure hain woh 70 se lekar 90 tak normal gina jata hain. Toh kuch halat aise hote hain jisme hamare heart ko jyada jor lagana parta hain jyada pressure lagana parta hain us samay jo blood pressure hota hain usko hum high blood pressure ke naam se jante hain. Toh high blood pressure jo hain apni utpatti ke mutabik do tarah ka gina jata hain. Pehla hota hain primary ya essential hypertension jo ki kareeb hypertension ke kariban 90 se 95% cases jo hain vo is category mein atey hain. Yeh jo blood pressure is tarah ka jo blood pressure hain vo do tarah se hota hain ya to mansik hota hain genetic or ya toh hota hain hamare khan pan hamare rahan sahan mein garbari ki wajey se. Aur yeh jo blood pressure hain isme jo isme barn eke jo karan hotey hain aam tor pe hotey hain hamare khurak mein jyada namak hona jyada ghee makhhan wagera, tali hui cheesey khana, jyada sharab ya cigarette ka seban karna hamar wajan jyada hona aur jo aj ke samay mein sab se bara karan hain jyadatar bimarion ka woh hain stress ya tension.

Toh in wajaon se yeh jo hain is tarah ka BP hota hain. Dusri tarah ka BP jo hota hain woh hota hain secondary hypertension jo ki aam tor pe kisi aur rang mein koi bimari ho to uske karan se yeh blood pressure ho jata hain. Jaise ke kisiko gurde ki bimari hain jisme ek bimari hain chronic kidney disease ho gayi ya phir jo kidney ki gurdey ki jo arteries hain dhamnia hain unme agar narrowing ho jaye agar rasta kam ho jay blood ka toh us waja se yeh ho jata hain. Aur auraton mein aksar un auraton mein paya jata hain jo birth control pills leti hain. Ab baat karte hain dosto ke isko manage ya control kaise kiya jaye. Toh jaisa maine abhi bataya ke primary or essential hypertension hain woh jin wajaon se hota hain jaise ki namak agar hum jyada lete hain to namak kam kar dena chahiye.

Sharab or cigarette ka sewan koshish karni chahiye ki bilkul na karein nahi to bohut kam kar dena chahiye. Apna wajan humey kum karna chahiye. Uske liye kasrat bohut zaroori hain. Aur sabse badi cheez agar hum kar payen, jo ki bohut kam log kar patey hain toh who yeh hain ki humey tension kam leni chahiye. Ab baat karte hain secondary hypertension ki management ki. Toh secondary hypertension kyunki aur bhimarion ki wajah se hota hain, toh agar hum un bhimarion ka ilaz karwa lete hain toh hamara secondary hypertension jo hain woh control ho jata hai thik ho jata hai.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Stress treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details