Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Have a Better Sexual Life

Profile Image
Dr. Prabhu VyasSexologist • 13 Years Exp.M.S Sexology Sexual Counselling, Ph.D Sexology, PGDPC (Post Graduation Diploma In Psychological Counselling)
lybrate_youtube

Basic concerns in sexual life of people

Hello friends, I am sexologist Prabhu Vyas. Main sexologist hu, sex therapist, sex and marriage counselor hu aur trainer bhi hu. Mujhe yeh sexology field mein bohut interest hai, aur bohut se logo ke problem solve karne mein mujhe bohut khushi hoti hai. Sexology mein anek alag alag branches hai jaise erectile dysfunction, premature ejaculation, homosexual activity, vaginismus aise anek problem anek male or female ko rehte hai. Erectile dysfunction mein kya rehta hai ki erection properly nahin hota, erection proper nahin honey ke anek karan rehte hai, jis ke andar surroundings bohut important rehta hai, vyatavaran agar kharab raha, mahoul tanavpurn raha yah sir mein tension raha, anxiety rahi, fear raha, bohut sari chinta rahi toh erectile dysfunction ho sakta hai.

Iske ilawa bhi anek karan hai, organic karan bhi hai, psychological karan bhi hai aur dusre karan bhi hai. Magar inn sabhi ka mul mantra ek hi hai ke apna dincharya proper honi chahiye aur ek proper sexologist se information leni chahiye, consultation lena chahiye, treatment lena chahiye, toh jitna bhi complicated problem ho, solve ho sakta hai.


Erectile dysfunction ke andar bohut se logo ko penis ka erection nahin hota hai, kabhi hota hai, kabhi nahin hota hai, aur anek guilt rehta hai unke mann mein ki humne bachpan mein aisi galti ki waisi galti ki, masturbation kiya. So it is the guilt of masturbations, ek impact ho jata hai unke mann mein ki humne hasthmaithun kiya thha iske wajah se yeh problem hua. Kabhi kabhi apne dhrma shastra mein padha rehta hai, adhyatma ke jo guru hai, kyun ki India mein totally alag concept hai, yahan pe taboo hai, bandhan hai, ki yeh Vishay pe kahi bola nahin jata, yeh Vishay pe kahi ek shabd bhi bola toh misunderstanding hoti hai ki yeh aisa hi hoga, aisa log samajhte hai, par aisa nahin hai.

Actual jab karan dhoondne jaye, actual jab samjhne jaye ki kya hai masturbation yah hasth maithun, toh it is not dangerous, yeh kuch harmful nahin hai, ulat yeh toh puran hai sharer ke liye. But jo guilt rehti hai mann ke andar ki iske wajah se aisa problem hua, uske wajah se waisa problem hua, yeh galti kiya thha, yeh sambandh kiya thha, itne blue film dekhe thhey, itna sab kiya thha, iske wajah se mujhe problem hua, yeh sab jo hai psychological impact hai, bohut se logo ko pre-mature ejaculation ho jata hai, jab bhi who stree ke paas jatey hai toh jald hi unka patan ho jata hai, shighra patan ho jata hai, toh unke wajah se unko shighra patan ho jata hai. Iss mein purush jaldi garam hota hai aur jaldi thanda ho jata hai but stree jo hai late garam hoti hai aur late thandi hoti hai, iski wajah se dono ki taal mel baith ti nahin, jaise tanga hota hai, jismein do pahiye rehti hai, dono wheels rehte hai, dono sath mein chalti hai toh gaadi barabar chalti hai, lekin iss mein ek pahiya jaldi chalti hai aur ek pahiya late chalti hai, to hiss wajah se balance nahin ho pata, aur iss wajah se crisis hoti hai, lady ko satisfaction nahin hota aur purush bhi nirash ho jata hai, aur kya karna hai, kiske pas jana hai yeh malum nahin rehta hai.

Har cheez ki speciality rehti hai. Jaise aankh doctor ko ankh ke barey mein zyada malumat rehti hai, cardiologist ko heart ke barey mein zyada malumat rehti hai, kaan ke specialist ko kaan ke barey mein zyada malumat rehti hai, ussi tarah sex problem ke barey mein sexologist ko zyada malumat rehti hai kyun ki who roz wahi kaam karta hai, iske barey mein deep study kiya hua rehta hai. Premature ejaculation mein jaldi virya patan hone ki wajah se barabar sambandh nahin aa pata. Ladies ki apeksha rehti hai ki kuch aur karna chahiye aur purush jo hai jaldi thanda ho jata hai, aur iske wajah se unmein ann bann hotey hai, diwar badhti chali jati hai aur agey bohut sarey problem hoti hai. Anek logo ke divorce ho gaye, anek logo ko baal bacchey nahin huye, anek logo sangsar uddhast ho gaya. To iss tarah se hona nahin chahiye toh shaadi ke pehle har kisiko matrimonial check up, yah sexual disorder ke barey mein sexologist se consult karke successful married life jeena chahiye jiske chalet dono ki Jodi ek acchi Jodi maani jaye aur dono ke beech mein bonding barkarar rahey aur dono ke beech mein prem barkarar rahey, iss laksh mein unko madad ki jjaati hai aur proper education diya jata hai.

Ajkal jo sex related vishay hai uski bohut zarurat hai hala ki hamare Indian culture mein, bharatiya sankskriti mein yeh baat taboo hai yeh baat batane ke koi zarurat nahin kyun ki logo ko jaise automatically yeh baat samajh mein aa jati hai, lekin samajh ke apeksha gair samahgi zyada hota hai ismein, kyun job hi jaankari milti hai sabhi dosto ke taraf se milti hai, friend circle yah magazine se milti hai jo proper scientific nahin rehti, jo doctor nahin rehte, yah sexologist nahin rehte. Toh proper sexologist se hi sex information liya toh unko zyada malumat milti hai, kayi gunah zyada faida hota hai aur properly who zindagi jee sakte hai.

Sexual disorder mein bhi anek prakar hai, koi koi patient homosexual rehte hai, homosexual mein bhi do prakar hai koi purely homosexual rehta hai koi intrasexual rehta hai, koi bisexual rehta hai toh uss mein percentage rehta hai toh who hisaab se bhi unko acchi tarah se kya hai kya nahin hai who sab jaankari di jaati hai. Mai sexologist Prabhu Vyaas main sexologist hu sex specialist hu sex trainer hu aur marriage counselor hu.

Toh aapko kuch bhi problem raha toh apka problem solve karne mein mujhe khushi hogi. Iss vishay mein adhik jaankari ke liye aap mujhe Lybrate mein consult kijiye, main aur apko help karunga
 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sex Education treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details