Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Hair Transplant Treatment

Profile Image
Dr. Esha AgarwalDermatologist • 13 Years Exp.MBBS, MD - Dermatology
lybrate_youtube

Hello Everyone,

I am Dr. Esha Agarwal, Dermatologist. Aaj hum baat krenge hair transplant procedure ke bare me. Aaj me apko iske procedures ke bare me btaungi. Sabse pehle baat hoti hai indication of the procedure, male pattern baldness or androgenetic alopecia is the most common cause. Ye problem young individuals ko effect krti hai. Ye genetically apko effect krti hai. Iska initial symptom hai thinning of hair. Baad me balon ki jade khtm ho jati hai. Iske baad hair transplant hi procedure hai to restore hair back. Thin hair ko hum biotin therapy or derma roller, PRP, stem cell, low level laser light therapy se hair fall roka ja skta hai. Next hain blood check-ups. Ye procedure local anesthesia me kia jata hai. Ye safe and day care procedure hai. Hair transplant ke types ki baat krte hain. Iske 2 types hain. FUT or FUE. FUT, strip technique kafi purani hai.

Isme hair follicles ko separate kia jata hai. Isme back of the head ek scar aata hai and anesthesia ke bhi apne side-effects hain. Islia ye procedure jyada perform nhi kia jata hai. FUE me hum hair ko ek ek kr ke nikalte hain. Bald area me hum implant kr dete hain. Ye absolutely painless and scarless surgery hai. Ab is procedure ke baad apko kya precautions lene hote hain. Starting ke 2 days apko surgical cap pehnni hoti hai or sunlight me directly nhi jana hai. at the gap of every 3-4 hours abko suggested spraya use krna hota hai. Day 3 se aap hair wash or koi bhi lose cap use kr skte hain. 14 days ke baad aap apna routine normally spend kr skte hain. Smoking apko nhi krni hai. Artificial protein supplement nhi lene hain. Alcohol 3 months ke lia quit krna hai. Is procedure ke complete result aane me 9-10 months lag jate hain. Initial growth 3-4 months me appear honi shuru ho jati hai. Agar apko koi or query hai to aap mujhe Lybrate ke through contact kr skte hain.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hair Transplant Surgery treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details